Skip to content
Kya kary meri masihai bhi karny wala

Kya kary meri masihai bhi karny wala, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Kya kary meri masihai bhi karny wala” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Kya kary meri masihai bhi karny wala” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Kya kary meri masihai bhi karny wala Zakham hi yeh mujhy lagta nhin bharny wala Zindagi sy kisi samjhoty kay ba wasf ab tak Yaad aata hai koi maarny marny wala Us ko bhi hum tery kochay mein guzar aaye hain Zindagi mein wo jo lamha tha sanwarny wala Uska andaz e sukhan sab sy juda tha shayad Baat lagti hui lehja wo mukarny wala Sham hony ko hai aur aankh mein ek khwab nhin Koi is ghar mein nhin roshni karny wala Dastaras mein hain anaasir kay iraady kis kay Su bikhar kay hi raha koi bikharny wala Isi umeed py har shaam bujhaaye hain chiraag Aik tara hai sar e baam ubharny wala

Kya kary meri masihai bhi karny wala

کیا کرے میری مسیحائی بھی کرنے والا

Parveen Shakir kehti hain kay meri masihai karny wala, mery zakhmon py marham rakhnay wala, mery ghamon ka madawa karny wala aakhir kya kary kay mujhy sukoon mil jaye.

Zakham hi yeh mujhy lagta nhin bharny wala

زخم ہی یہ مجھے لگتا نہیں بھرنے والا

Parveen Shakir kehti hain kay unka yeh zakham bharnay wala hai hi nhin. Unko jo gham mila hai wo kabhi kam nhin ho sakta. Zamany kay sitam unhein hamesha yaad rahein gy.

Zindagi sy kisi samjhoty kay ba wasf ab tak

زندگی سے کسی سمجھوتے کے با وصف اَب تک

Shayara kehti hain kay zindagi mein aik samjhota tha aur aik ba wasf yani khobiyon wala insaan unky sath tha jo muhabbat kay daawy kia karta tha jis tarah mehboob karty hain

Yaad aata hai koi maarny marny wala

یاد آتا ہے کوئی مارنے مرنے والا

Shayara kehti hain kay aaj jab unka mehboob unhein chor kar ja chuka hai tw unhein us mehboob ki yaad aarhi hai jo un kay liy mar mitny ki baatein kia karta tha. Wo zindagi ko mery bagair tasavur nhin karta tha.

Us ko bhi hum tery kochay mein guzar aaye hain

اُس کو بھی ہم ترے کوچے میں گزار آئے ہیں

Parveen Shakir ka yeh intahai khobsorat shair hai jis mein khobsorati sy bayan karti hain kay kis tarah unhon ny mehboob ki rah mein apni zindagi tabah kardi. Wo kehti hain kay unhon ny sary lamhy mehboob kay pehlu mein guzary hain.

Zindagi mein wo jo lamha tha sanwarny wala

زندگی میں وہ جو لمحہ تھا سنورنے والا

Shayara kehti hain kay zindagi ka wo lamha jis lamhy mein wo sanwar sakti thin, apni manzil ki janib ja sakti thin magar wo lamha bhi unhon ny mehboob kay kochay mein guzar dia hai.

Uska andaz e sukhan sab sy juda tha shayad

اُس کا اندازِ سُخن سب سے جدا تھا شاید

Parveen Shakir kehti hain kay wo mujhy is qadar yaad kyun aata hai. Kyun kay unky mehboob ka andaz e sukhan uska baat karny ka tareeqa sab sy juda tha isliye unhein us sy muhabbat hogyi. Wo sab sy alag tha.

Baat lagti hui lehja wo mukarny wala

بات لگتی ہوئی لہجہ وہ مکرنے والا

Shayara kehti hain kay unky mehboob ki baatein dil py lagti thin aur uska lehja aesa tha jesy wo kisi chiz sy mukar raha ho. Wo apny ghamon sy mukar jata tha aur aesi baatein karta tha jo dil mein ghar kar jati thin.

Sham hony ko hai aur aankh mein ek khwab nhin

شام ہونے کو ہے اور آنکھ میں اِک خواب نہیں

Parveen Shakir kehti hain kay sham hony wali hai aur unki aankh mein ek khwab bhi nhin hai. Wo bohat gham zada hain. Unky liy roshni karny wala ya unko khushiyan deny wala koi nhin hai. Koi unko sukoon deny wala nhin hai

Koi is ghar mein nhin roshni karny wala

کوئی اِس گھر میں نہیں روشنی کرنے والا

Parveen Shakir kehti hain kay unky mehboob kay chaly jany kay baad koi nhin hai jo unky ghar mein roshni kar dy. Koi unko ghamon sy nikalny wala nhin hai.

Dastaras mein hain anaasir kay iraady kis kay

دسترس میں ہیں عناصر کے ارادے کس کے

Shayara kehti hain kay kiski giraft mein sab kuch hai. Aesa mumkin nhin hai kay kisi kay hath mein anaasir kay iraady hoon. Is jahaan mein sab kuch giraft mein hona mumkin nhin hai.

Su bikhar kay hi raha koi bikharny wala

سو بکھر کے ہی رہا کوئی بکھرنے والا

Parveen Shakir kehti hain kay jisky naseeb mein bikharna likha gya hai wo shakhs bikhar kar hi rahy ga. Apny halaat par qabo pa lena insaan kay hath mein nhin hota. Wo apny dukhon ka madawa khud nhin kar sakta.

Isi umeed py har shaam bujhaaye hain chiraag

اِسی امید پہ ہر شام بُجھائے ہیں چراغ

Parveen Shakir kehti hain kay jab bhi sham hoti hai tw main chiraag bhuja deti hoon aur andhera hojata hai. Wo roti hain aur duayein karti hain apny mehboob sy milny ki. Unko umeed hai kay wo usy pa leingi.

Aik tara hai sar e baam ubharny wala

ایک تارا ہے سرِ بام اُبھرنے والا

Shayara kehti hain kay aik sitara hai jo sar e baam ubhray ga aur unky liy roshni ka zariya bany ga. Wo kehti hain kay wo sitara, wo umeed unki zindagi ko ghamon sy nikal kar roshan kar degi.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!

× Click to WhatsApp