Dil ka kya hai wo tw chahy ga musalsal milna
Dil ka kya hai wo tw chahy ga musalsal milna, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal
This post provides ”Dil ka kya hai wo tw chahy ga musalsal milna” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Dil ka kya hai wo tw chahy ga musalsal milna” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Dil ka kya hai wo tw chahy ga musalsal milna
دل کا کیا ہے وہ تو چاہے گا مُسلسل ملنا
Parveen Shakir kehti hain kay unka dil apny mehboob sy musalsal milna chahta hai. Unka dil mehboob ki muhabbat mein giraftaar hai.
Wo sitam gar bhi magar sochy kisi pal milna
وہ ستم گر بھی مگر سوچے کِسی پل ملنا
Shayara apny mehboob ko sitam gar keh rahi hain. Wo kehti hain kay unka mehboob unsy milna nhin chahta. Unka mehboob un ko waqat nhin deta aur un py sitam karta hai.
Wan nhin waqat tw hum bhi hain adeem ul fursat
واں نہیں وقت تو ہم بھی ہیں عدیمُ الفرصت
Parveen Shakir kehti hain kay agar unky mehboob kay pas waqat nhin hai tw phir wo bhi adeem ul fursat hain. Wo bhi musrof hain aur unky pas bhi mehboob sy milny ki fursat nhin hai.
Us sy kya miliye jo har roz kahy kal milna
اُس سے کیا ملیے جو ہر روز کہے کل ملنا
Parveen Shakir kehti hain kay wo us mehboob sy kya milein jo milna nhin chahta aur mulaaqaton ko kal ka keh kar taal deta hai. Mehboob kay pas milny ki fursat hi nhin hai.
Ishq ki rah kay musafir ka muqaddar maloom
عشق کی رہ کے مسافر کا مقدر معلوم
Parveen Shakir kehti hain kay jo ishq ki rah ka musafir hota hai uska muqaddar bohat ajeeb hota hai. Usky naseeb mein khushi kam aur gham zyada hoty hain.
Shahar ki soch mein ho aur usy jangal milna
شہر کی سوچ میں ہو اور اُسے جنگل ملنا
Shayara kehti hain kay aik aashiq agar shahar ka sochta hai tw usy dasht mil jata hai. Har chiz uski sochon sy ulat hoti hai. Khushi ki justujo mein usy gham milty hain.
Uska milna hai ajab tarah ka milna jesy
اُس کا ملنا ہے عجب طرح کا ملنا جیسے
Parveen Shakir kehti hain kay unky mehboob ka unsy milna aik ajeeb tarah ka milna hai. Wo waqat nikal kar shayara sy milny nhin aata. Kabhi rasty mein guzarty huye takraye tw mil leta hai.
Dasht e umeed mein andeshy ka badal milna
دشتِ اُمید میں اندیشے کا بادل ملنا
Shayara kehti kay unka mehboob unsy aesy milta hai jesy kisi dasht ko andeshy mein koi badal mil jata hai aur baras jata hai. Unka mehboob unsy kam milta hai.
Daman e shab ko agar chaak bhi kar lein tw kahan
دامنِ شب کو اگر چاک بھی کر لیں تو کہاں
Shayara kehti hain kay agar ko apni shab ka daman chaak kar lein yani apni raaton ko badal lein tab bhi unky naseeb mein khushiyan nhin hai.
Noor mein dooba hua subah ka aanchal milna
نور میں ڈوبا ہوا صبح کا آنچل ملنا
Parveen Shakir kehti hain kay unhein noor mein dooba hua subah ka aanchal nhin mil sakta. Unki zindagi kay gham dour nhin hosakty aur unko khushiyan milna kesy mumkin ho sakta hai.
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!