Skip to content
Agarche tujh sy bohat ikhtalaf bhi na hua

Agarche tujh sy bohat ikhtalaf bhi na hua, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Agarche tujh sy bohat ikhtalaf bhi na hua” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Agarche tujh sy bohat ikhtalaf bhi na hua” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Agarche tujh sy bohat ikhtalaf bhi na hua Magar yeh dil teri janib sy saaf bhi na hua Taluqaat kay barzakh mein hi rakha mujh ko Wo mery haq mein na tha aur khilaaf bhi na hua Ajab tha jurm e muhabbat keh jis py dil ny mery Saza bhi payi nhin aur maaf bhi na hua Malamaton mein kahan sans ly sakyn gy wo log Keh jin sy kuye jafa ka tawaf bhi na hua Ajab nhin hai keh dil par jami mili kayi Bohat dinon sy tw yeh hoz saaf bhi na hua Hawaye dahr humein kis liy bujhaati hai Humein tw tujh sy kabhi ikhtalaf bhi na hua

Agarche tujh sy bohat ikhtalaf bhi na hua

اگرچہ تجھ سے بہت اِختلاف بھی نہ ہوا

Parveen Shakir kehti hain kay unhein apny mehboob sy bohat zyada ikhtalaf nhin hai. Wo apny mehboob sy muhabbat ki wajah sy us sy ikhtalaf nhin kr pa rahin. Unky Mehboob ka rawaiya aur mizaaj unko bilkul pasand nhin hai.

Magar yeh dil teri janib sy saaf bhi na hua

مگر یہ دل تری جانب سے صاف بھی نہ ہوا

Shayara kehtib hain unko apny mehboob sy ikhtalaf nhin hua lekin unka dil mehboob ki janib sy saaf bhi nhin hua. Mehboob ki bohat si baatein shayara ko takleif deti hain aur wo apny dil ko us ky liy saaf nhin kar saktin. Mehboob ny unko bohat gham diy hain.

Taluqaat kay barzakh mein hi rakha mujh ko

تعلقات کے برزخ میں ہی رکھا مجھ کو

Parveen Shakir kehti hain kay unky mehboob ny unhein taluqaat kay barzakh mein rakha. Unka mehboob unsy qareeb bhi nhin hua aur na hi unsy dour hua. Wo kabhi kabhi unsy mil leta tha aur unko zyada waqat nhin deta tha.

Wo mery haq mein na tha aur khilaaf bhi na hua

وہ میرے حق میں نہ تھا اور خِلاف بھی نہ ہوا

Shayara kehti hain kay unky mehboob unky haq mein nhin hua aur unky khilaaf bhi nhin hua. Wo unky sath bhi nhin tha aur unsy dour bhi nhin hua. Bas wo shayara ko gham deta raha.

Ajab tha jurm e muhabbat keh jis py dil ny mery

عجب تھا جرمِ محبت کہ جس پہ دل نے مرے

Parveen Shakir kehti hain kay unka muhabbat karna aik ajeeb jurm tha. Unky mehboob ny unki muhabbat ko aik ajeeb jurm bana dia tha jiski wajah sy unky dil ny sitam bardasht kiy.

Saza bhi payi nhin aur maaf bhi na hua

سزا بھی پائی نہیں اور معاف بھی نہ ہوا

Shayara kehti hain kay muhabbat karna unky liy aik aesa jurm ban gya tha kay unky mehboob ny unhein saza bhi nhin di aur maaf bhi nhin kia. Shayara kay mehboob ny unky jurm ko maaf kar kay unhein apny sath bhi nhin rakha aur unhein saza de kar khud sy dour bhi nhin kia.

Malamaton mein kahan sans ly sakyn gy wo log

ملامتوں میں کہاں سانس لے سکیں گے وہ لوگ

Parveen Shakir kehti hain wo log jo masoom hain wo kis tarah malamaton mein sans ly sakyn gy. Zamany kay sitam aur zulm ko wo kis tarah bardasht kar sakyn gy.

Keh jin sy kuye jafa ka tawaf bhi na hua

کہ جن سے کوئے جفا کا طواف بھی نہ ہوا

Shayara kehti hain kay jo log jafaon ki gali ka tawaf nhin kar saky wo kesy zamany kay gham bardasht krein gy. Wo log jo be wafa nhin hain wo kesy malamat ko sahein gy.

Ajab nhin hai keh dil par jami mili kayi

عجب نہیں ہے کہ دل پر جمی ملی کائی

Parveen Shakir kehti hain kay is mein koi ajab baat nhin hai kay unky dil par kayi jami hui mili. Unka dil ghamon mein dooba hua hai aur ajeeb halaat hain. Unka dil siyah ho chuka hai.

Bohat dinon sy tw yeh hoz saaf bhi na hua

بہت دنوں سے تو یہ حوض صاف بھی نہ ہوا

Shayara kehti hain kay bohat dinon sy unky dil ka hoz saaf nhin hua. Unky dil ny bohat sitam bardasht kit hain. Us zamany ny aur unky mehboob ny unko bohat gham dia hai. Unka dil abhi b ghamon mein dooba hua hai.

Hawaye dahr humein kis liy bujhaati hai

ہوائے دہر ہمیں کس لیے بجھاتی ہے

Parveen Shakir kehti hain kay is duniya ki hawayein humein kyun bujhaati hain. Sara zamana unky khilaaf hogya hai. Shayara zamany kay zulm o sitam sy tang aa chuki hain.

Humein tw tujh sy kabhi ikhtalaf bhi na hua

ہمیں تو تجھ سے کبھی اختلاف بھی نہ ہوا

Shayara kehti hain kay unhein apny mehboob sy kabhi ikhtalaf nhin hua. Mehboob kay rawaiye ki talkhion kay bawajood wo kabhi bhi us sy bey zar nhin huin.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!