Skip to content
Khyaal o khwab hua barg o baar ka mousam

Khyaal o khwab hua barg o baar ka mousam, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Khyaal o khwab hua barg o baar ka mousam” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Khyaal o khwab hua barg o baar ka mousam” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Khyaal o khwab hua barg o baar ka mousam Bichar gya teri sourat e bahaar ka mousam Kyi ruton sy mery neem wa dareechon mein Thehar gya hai tery intazar ka mousam Wo naram lehjy mein kuch tw kahy kah lout aaye Sama,aton ki zameen par phuwaar ka mousam Payam aaya hai phir aik sarv qamat ka Mery wajood ko kheinchy hai daar ka mousam Wo aag hai kay meri por por jalti hai Mery badan ko mila hai chanar ka mousam Rafaqaton kay naye khwab khush numan hain magar Guzar chuka hai tery aitbaar ka mousam Hawa chali tw nayi baarishein bhi sath aayein Zameen kay chehray py aaya hai nikhaar ka mousam Wo mera naam liy jaaye aur main uska naam Lahu mein gonj raha hai pukaar ka mousam Qadam rakhy meri khushbu kah ghar ko lout aaye Koi bataye mujhy kuye yaar ka mousam Wo roz aakay mujhy apna pyaar pehnaye Mera guror hai bele kay haar ka mousam Tery tareeq e muhabbat py bar ha socha Yeh jabar tha kay tery ikhtiyar ka mousam

Khyaal o khwab hua barg o baar ka mousam

خیال و خواب ہوا برگ و بار کا موسم

Parveen Shakir kehti hain kay jo baharon ka mousam tha, jo phoolon kay khilna ka mousam tha wo khyaal o khwab hogya hai. Shayara ki khushion ki koi haisiyat nhin rahi.

Bichar gya teri sourat e bahaar ka mousam

بچھڑ گیا تری صورتِ بہار کا موسم

Shayara kehti hain kay unky mehboob ki tarah unsy bahaar ka mousam bhi bichar gya hai. Unka mehboob unsy dour hogya hai tw unki sari khushiyan bhi unsy chin gyi hain.

Kyi ruton sy mery neem wa dareechon mein

کئی رتوں سے مرے نیم وا دریچوں میں

Parveen Shakir kehti hain kay kyi mousamon sy unky neem wa dareechon mein yani unky adh khuly dareechon mein unky mehboob ka intazaar horha hai. Wo apny mehboob ko bhula nhin saktin.

Thehar gya hai tery intazar ka mousam

ٹھہر گیا ہے ترے انتظار کا موسم

Shayara kehti hain kay unky mehboob kay intazar ka mousam thehar gya hai. Wo apny mehboob kay intazar mein hain aur uska intazar khatam hi nhin horha.

Wo naram lehjy mein kuch tw kahy kah lout aaye

وہ نرم لہجے میں کچھ تو کہے کہ لوٹ آئے

Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob unsy naram lehjy mein kuch tw keh dy. Wo apny mehboob ki pyaar bhari baatein sun,na chahti hain.

Sama,aton ki zameen par phuwaar ka mousam

سماعتوں کی زمیں پر پھوار کا موسم

Shayara kehti hain kay unki sama,aton ki zameen par phuwaar ka mousam lout aaye. Mehboob ki awaaz sun kar unky kanon ko aesa mehsos hoga jesy zameen par halki baarish parti hui mehsos hoti hai.

Payam aaya hai phir aik sarv qamat ka

پیام آیا ہے پھر ایک سرو قامت کا

Shayara kehti hain kay unhein us sarv qamat ka payam aaya hai. Unko apny mehboob ka paigham aaya hai. Usny judai ka paigham bheja hai. Shayara ka mehboob unsy juda hona chahta hai.

Mery wajood ko kheinchy hai daar ka mousam

مرے وجود کو کھینچے ہے دار کا موسم

Parveen Shakir kehti hain kay unky wajood ko daar ka mousam kheinchta hai. Apny mehboob sy judai ka sun kar unko apna sans ghut,ta hua mehsos horha hai jesy kisi ny unhein suli charha dia ho.

Wo aag hai kay meri por por jalti hai

وہ آگ ہے کہ مری پور پور جلتی ہے

Shayara kehti hain kay mehboob ka sath aik aag ki manind hai. Jab mehboob sath hota hai tw unky wajood ki por por jalti hai. Mehboob ki tapish mein unka wajood jhulasny lgta hai.

Mery badan ko mila hai chanar ka mousam

مرے بدن کو ملا ہے چنار کا موسم

Shayara kehti hain ay unky badan ko chanar ka mousam mila hai. Unky mehboob ka sath aag ki tarah hai aur unky badan kay liy ye chanaar ka mousam hai.

Rafaqaton kay naye khwab khush numan hain magar

رفاقتوں کے نئے خواب خوش نما ہیں مگر

Parveen Shakir kehti hain kay rafaqaton kay naye khwab khush numa hoty hain. Muhabbat kay naye khwab dil ko khush kar dety hain. Mehboob ka khush numa hota hai.

Guzar chuka hai tery aitbaar ka mousam

گزر چُکا ہے ترے اعتبار کا موسم

Shayara kehti hain kay unko unky mehboob py aitbaar nhin raha. Aitbaar ka mousam ab guzar chuka hai. Ab mehboob kay sath kay khwab shayara kay liy khush numa nhin hain.

Hawa chali tw nayi baarishein bhi sath aayein

ہوا چلی تو نئی بارشیں بھی ساتھ آئیں

Shayara kehti hain kay jab hawa chali tw nayi baarishein bhi sath aagyin. Jab dil tout jata hai aur kisi aur simat jany lagta hai tw rasty mein koi chahny wala milta hai baarish ki tarah aur ghamon ko dour karny ki koshish karta hai.

Zameen kay chehray py aaya hai nikhaar ka mousam

زمیں کے چہرے پہ آیا نکھار کا موسم

Shayara kehti hain kay naya mousam aaya hai. Baarish hui hai aur zameen ka chehra nikhar gya hai. Unky ghamon ko marham mil raha hai aur unko wajood nikhar raha hai.

Wo mera naam liy jaaye aur main uska naam

وہ میرا نام لیے جائے اور میں اُس کا نام

Parveen Shakir kehti hain kay mera mehboob mera naam leta rahy aur main unka naam leti rahon. Hum donon aik dosry ko pukarty rahein. Aik dosry ki talash mein rahein.

Lahu mein gonj raha hai pukaar ka mousam

لہو میں گونج رہا ہے پُکار کا موسم

Shayara kehti hain unky lahu mein pukaar ka mousam gonj raha hai. Wo chahti hain wo apny mehboob ko pukarein aur wo bhi unsy hum kalaam ho. Donon aik dosry kay sath ki besabri sy khwahish krein.

Qadam rakhy meri khushbu kah ghar ko lout aaye

قدم رکھے مری خوشبو کہ گھر کو لوٹ آئے

Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob unky ghar mein qadam rakhy aur unky ghar ki khushbu lout aaye. Wo apny mehboob ki muntazir hain.

Koi bataye mujhy kuye yaar ka mousam

کوئی بتائے مجھے کوئے یار کا موسم

Shayara kehti hain kay koi unhein kuye yaar ka mousam bta dy. Wo jaan,na chahti hain kay unky mehboob ki gali mein kis tarah ka mousam hai.

Wo roz aakay mujhy apna pyaar pehnaye

وہ روز آ کے مجھے اپنا پیار پہنائے

Shayara kehti hain kay unka mehboob roz unky pas aaye aur unhein apna pyaar pehnaye. Wo apny mehboob kay sath khush numa baatein karna chahti hain.

Mera guror hai bele kay haar ka mousam

مرا غرور ہے بیلے کے ہار کا موسم

Shayara kehi hain kay bele kay haar ka mousam unka guror hai. Jab unka mehboob unhein chamili kay phoolon ka haar pehnata tha wo mousam unky guror ka mousam hai.

Tery tareeq e muhabbat py bar ha socha

ترے طریقِ محبت پہ بارہا سوچا

Parveen Shakir kehti hain kay jo unko mehboob ki muhabbat ka tareeqa tha us par unhein ny bar ha socha hai. Shayara ny bohat socha hai kay unky mehboob ki muhabbat kis tarah ki muhabbat thi.

Yeh jabar tha kay tery ikhtiyar ka mousam

یہ جبر تھا کہ ترے اختیار کا موسم

Shayara kehti hain kay wo sochti hain kay unky mehboob ka unsy pyaar karna usko ikhtiyar mein tha ya koi jabar tha. Wo kehti hain kay unky mehboob ka unsy pyaar karna phir unhein chor jana aesa hai jesy wo piyar unky mehboob par aik jabar tha.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!