Skip to content
Khulay gi is nazar py chashm e tar aahista aahista

Khulay gi is nazar py chashm e tar aahista aahista, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Khulay gi is nazar py chashm e tar aahista aahista” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Khulay gi is nazar py chashm e tar aahista aahista ” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Khulay gi is nazar py chashm e tar aahista aahista Kia jata hai pani mein safar aahista aahista Koi zanjir phir wapis wohin par ly kay aati hai Kathin ho rah tw chut,ta hai ghar aahista aahista Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai Kah thakta ja raha hai humsafar aahista aahista Khalish kay sath is dil sy na meri jaan nikal jaye Khinchy teer e shanasai magar aahista aahista Hawa sy sarkashi mein phool ka apna ziyaan dekha So jhukta ja raha hai ab yeh sar aahista aahista

Khulay gi is nazar py chashm e tar aahista aahista

کُھلے گی اِس نظر پہ چشمِ تر آہستہ آہستہ

Parveen Shakir kehti hain kay us nazar par unki aankhein aahista aahista khulein gi. Aik manzar jo unki aankhon mein thehar gya hai, wo nazar jo unky mehboob ki hai us py unki aankhein aahista aahista khulein gi.

Kia jata hai pani mein safar aahista aahista

کیا جاتا ہے پانی میں سفر آہستہ آہستہ

Shayara kehti hain kay jis tarah pani mein aahista aahista safar kia jata hai, usi tarah shayara ki chashm e tar bhi dheery dheery khuly gi.

Koi zanjir phir wapis wohin par ly kay aati hai

کوئی زنجیر پھر واپس وہیں پر لے کے آتی ہے

Parveen Shakir kehti hain kay wo kahin mein chali jayein unky paon mein ek zanjir bandhi hai, unky wajood kay sath aik aesa rishta munsalik hai jo unhein wapis kheinch leta hai.

Kathin ho rah tw chut,ta hai ghar aahista aahista

کٹھن ہو راہ تو چھٹتا ہے گھر آہستہ آہستہ

Shayara kehti hain kay agar rasty mein mushkilaat hon tw ghar aahista aahista chut,ta hai. Mushkil raston sy musafir ghabra jaty hain.

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai

بدل دینا ہے رستہ یا کہیں پر بیٹھ جانا ہے

Parveen Shakir kehti hain kay yeh jo rasta hai is py mushkilaat hain tw inko dekhty huye kya rasty ko badal dia jaye ya phir hum yahin py beth jayein aur safar khatam kar dein.

Kah thakta ja raha hai humsafar aahista aahista

کہ تھکتا جا رہا ہے ہم سفر آہستہ آہستہ

Shayara kehti hain kay is kathin safar mein unka humsafar thakta jarha hai. Wo safar ko khatam kar dein ya rasta badal lein kyun kay unka humsafar ukta gya hai.

Khalish kay sath is dil sy na meri jaan nikal jaye

خلش کے ساتھ اِس دل سے نہ میری جاں نکل جائے

Parveen Shakir kehti hain kay khalish kay sath unki jaan hi na nikal jaye. Jo khalish unky dil mein hai wo dour hony wali nhin hai. Agr usy nikala jaye ga tw shayara ko apni jaan nikal jany ka khadsha hai.

Khinchy teer e shanasai magar aahista aahista

کھنچے تیرِ شناسائی مگر آہستہ آہستہ

Shayara kehti hain jo shakhs shanasai ka teer kheinchy yani jo unsy dour jaye, unko bhool jana chahy, har rishta khatam karna chahy tw wo aesa aahista aajista kary.

Hawa sy sarkashi mein phool ka apna ziyaan dekha

ہوا سے سرکشی میں پھول کا اپنا زیاں دیکھا

Shayara kehti hain kay hawa sy sarkashi karny wala phool khud apna ziyaan kar leta hai. Hawa sy jang karny mein phool ka hi nuqsan hai. Wo khud ko phool aur mehboob ko hawa keh rahi hain.

So jhukta ja raha hai ab yeh sar aahista aahista

سو جھکتا جا رہا ہے اب یہ سر آہستہ آہستہ

Parveen Shakir apny mehboob sy jang nhin chahti, wo usky sath rehna chahti hain islye usky samny unka sar aahista aahista jhukta ja raha hai. Mehboob sy larai mein unka apna nuqsan hai.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!