Skip to content
Chalny ka hosla nhin rukna muhaal kar dia

Chalny ka hosla nhin rukna muhaal kar dia, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Chalny ka hosla nhin rukna muhaal kar dia” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Chalny ka hosla nhin rukna muhaal kar dia” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Chalny ka hosla nhin rukna muhaal kar dia Ishq kay is safar ny tw mujhko nidhaal kar dia Ay meri gul zameen tujhy chah thi ek kitaab ki Ehl e kitaab ny magar kya tera haal kar dia Milty huye dilon kay bich aur tha faisla koi Us ny magar bicharty waqat aur sawaal kar dia Ab kah hawa kay sath hai daman e yaar muntazir Banuye shab kay hath mein rakhna sambhal kar dia Mumkina faislon mein aik hijar ka faisla bhi tha Hum ny tw aik baat ki us ny kamal kar dia Mery labon py muhar thi par mery sheesha ru ny tw Shahar kay shahar ko mera waqif e haal kar dia Chehra o naam aik sath aaj na yaad aasaky Waqat ny kis shabih ko khwab o khyaal kar dia Muddaton baad us ny aaj mujh sy koi gila kia Mansab e dilbari py kya mujh ko bahaal kar dia

Chalny ka hosla nhin rukna muhaal kar dia

چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا مُحال کر دیا

Parveen Shakir kehti hain kay un mein chalny ka hosla nhin hai, wo is rasty py chal chal kar, gham bardasht kar kay thak gyi hain. Unky liy rukna bhi muhaal hogya hai. Ghamon ny unki zindagi ko barbad kar dia hai.

Ishq kay is safar ny tw mujhko nidhaal kar dia

عشق کے اِس سفر نے تو مجھ کو نڈھال کر دیا

Shayara kehti hain kay ishq kay safar ny unko nidhaal kar dia hai. Unhon ny socha tha kay ishq unki zindagi mein khushiyan laye ga magar is safar mein tw unhein sirf zakham mily hain aur wo nidhaal ho chuki hain.

Ay meri gul zameen tujhy chah thi ek kitaab ki

اے مری گل زمیں تجھے چاہ تھی اِک کتاب کی

Parveen Shakir kehti hain kay unki gul zameen ko aik kitaab ki chah thi. Unki khwahish thi kay unhein aik kitaab mil jaye. Wo khud aik kitaab likhna chahti thin.

Ehl e kitaab ny magar kya tera haal kar dia

اہلِ کتاب نے مگر کیا ترا حال کر دیا

Shayara kehti hain kay jo ehl e kitaab hain unhon ny unka kya haal kar dia hai. Kitaab walon ny unko bohat dukh diye aur unko ghamon sy chur kardia.

Milty huye dilon kay bich aur tha faisla koi

ملتے ہوئے دلوں کے بیچ اور تھا فیصلہ کوئی

Parveen Shakir kehti hain kay jab do dil mil rhy thy, jab muhabbat ka aagaz horaha tha tab unky dilon kay darmiyan aur faisla tha. Wo mustaqbil kay khwab dekhty thy. Har taraf khushiyan thin.

Us ny magar bicharty waqat aur sawaal kar dia

اس نے مگر بچھڑتے وقت اور سوال کر دیا

Shayara kehti hain kay jab mehboob sy unki judai ka waqat aaya tw unky mehboob ny unsy aur sawaal karna shuruh kardye goya wo unsy tang aagya ho aur uktaa gya ho.

Ab kah hawa kay sath hai daman e yaar muntazir

اب کے ہوا کے ساتھ ہے دامنِ یار منتظر

Parveen Shakir kehti hain kay unky yaar ka daman hawa kay sath hai aur isi ka muntazir hai. Wo hawa sari roshni ko bhuja degi.

Banuye shab kay hath mein rakhna sambhal kar dia

بانوئے شب کے ہاتھ میں رکھنا سنبھال کر دیا

Shayara kehti hain kay raat kay kamdhon py sambhal kar dia rakhna. Hawa sy wo dia bujh sakta hai aur har taraf andhera ho jaye ga.

Mumkina faislon mein aik hijar ka faisla bhi tha

ممکنہ فیصلوں میں ایک ہجر کا فیصلہ بھی تھا

Parveen Shakir kehti hain kay jitny bhi mumkina faisly thy jo ho sakty thy, sab faisly kiy gye. Is kay sath aik hijar ka faisla bhi tha. Mehboob sy doori ka faisla bhi kar lia gya.

Hum ny tw aik baat ki us ny kamal kar dia

ہم نے تو ایک بات کی اُس نے کمال کر دیا

Shayara kehti hain kay unhon ny tw sirf aik baat ki thi pekin unky mehboob ny kamaal kardia. Us ny had kardia. Unki aik baat kehny ko mehboob ny jurm bna dia.

Mery labon py muhar thi par mery sheesha ru ny tw

میرے لبوں پہ مہر تھی پر میرے شیشہ رو نے تو

Parveen Shakir kehti hain kay unky labon py muhar thi yani wo chup thin. Unhon ny muhabbat ki dastaan kisi ko nhin sunai. Lekin jo unka sheesha jo unki har baat janta tha wo chup nhin raha.

Shahar kay shahar ko mera waqif e haal kar dia

شہر کے شہر کو مرا واقفِ حال کر دیا

Shayara kehti hain kay unky mehboob ny pory kay pory shahar ko unka waqif e haal kar dia. Unki muhabbat ki kahani sabko suna di aur unhein badnaam kardia.

Chehra o naam aik sath aaj na yaad aasaky

چہرہ و نام ایک ساتھ آج نہ یاد آ سکے

Parveen Shakir kehti hain kay aaj kesa waqat aagya hai kay unko apny mehboob ka chehra aur naam aik sath yaad nhin aasaky. Unky darmiyan bohat douri aagyi hai. Wo mehboob ko bhool chuki hain.

Waqat ny kis shabih ko khwab o khyaal kar dia

وقت نے کس شبیہ کو خواب و خیال کر دیا

Shayara kehti hain kay waqat bohat zaalim hai. Guzarty waqat ny us shakhs ko unky liy khwab o khyaal kardia hai. Yani ab unhein unky mehboob ki yaad nhin aati aur sab kuch haqeeqat sy dour hogya hai.

Muddaton baad us ny aaj mujh sy koi gila kia

مدتوں بعد اُس نے آج مجھ سے کوئی گِلہ کیا

Parveen Shakir kehti hain kay muddaton baad unky mehboob ny unsy koi gila kia hai. Unky darmiyan khamoshi aagyi thi. Bohat arsy baad unky mehboob ny unsy koi shikayat ki.

Mansab e dilbari py kya mujh ko bahaal kar dia

منصبِ دلبری پہ کیا مجھ کو بحال کر دیا

Shayara kehti hain kay unky mehboob ny unsy gila kar kay sabit kia kay usny unhein mansab e dilbari par bahaal kardia. Yani usky dil mein shayara kay liy ab bhi iyar hai.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!