Wo tw khushbu hai hawayon mein bikhar jaye ga
Wo tw khushbu hai hawayon mein bikhar jaye ga, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal
This post provides ”Wo tw khushbu hai hawayon mein bikhar jaye ga” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Wo tw khushbu hai hawayon mein bikhar jaye ga” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Wo tw khushbu hai hawayon mein bikhar jaye ga
وہ تو خوش بو ہے ہواؤں میں بکھر جائے گا
Parveen Shakir is misry mein duniya ki aik karwi haqeeqat ko bayan krti hain. Wo kehti hain kay mard jab kisi aurat ko chor deta hai tw yeh zamana mard ko acha janta hai aur aurat ko bura kehta hai. Unhon ny mard ko khushbu sy tashbeeh di hai kay mard khushbu hai, wo hawaon mein bikhar jayega.
Masla phool ka hai phool kidhar jaye ga
مسئلہ پھول کا ہے پھول کدھر جائے گا
Is misry mein shayara ny aurat ko phool kaha hai. Wo kehti hain jab aik mard aurat ko tanha chor kay chala jata hai aur zamany aurat ko bura janta hai tab aurat kay liy masla ban jata hai kay wo kidhar jayegi. Aurat us phool ki tarah hojati hai jis ki khushbu aur tar o tazgi us sy chin jati hai.
Hum tw samjhy thy kay ek zakham hai bhar jaye ga
ہم تو سمجھے تھے کہ اِک زخم ہے بھر جائے گا
Parveen Shakir kehti hain kay jis tarah zamany bhar ny unko zakham diy bilkul usi tarah mehboob kay chaly jany ko bhi unhon ny aik zakham samjha tha aur unhein lagta tha kay yeh zakham bhi bohat jald bhar jayega.
Kya khabar thi kay rag e jaan mein utar jaye ga
کیا خبر تھی کہ رگِ جاں میں اُتر جائے گا
Parveen Shakir kehti hain kay mehboob kay chaly jany sy un kay dil py zakham lga tha. Unko khabar nhin thi kay yeh zakham bharny wala nhin hai aur yeh unki jaan sy bhi aagy rag e jaan mein utar jaye ga.
Wo hawayon ki tarah khana bajan phirta hai
وہ ہواؤں کی طرح خانہ بجاں پھرتا ہے
Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob unki halat sy waqif nhin hai. Wo bas kuch dyr kay liy unky pas aata hai aur chala jata hai. Unka mehboob aik hawa kay jhonkay ki manind hai jo khana bajan phirta hai yani dar ba dar phirta rehta hai.
Aik jhonka hai jo aaye ga guzar jaye ga
ایک جھونکا ہے جو آئے گا گزر جائے گا
Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob hawa ka aik jhonka hai jo unky pas aata hai aur foran guzar jata hai. Unka mehboob unhein waqat nhin deta.
Wo jab aaye ga tw phir uski rafaqat kay liy
وہ جب آئے گا تو پھر اُس کی رفاقت کے لیے
Parveen Shakir kehti hain kay jab unka mehboob aayega tw phir uski rafaqat yani uska sath unhein naseeb hoga.
Mousam e gul mery aangan mein thehar jaye ga
موسمِ گل مرے آنگن میں ٹھہر جائے گا
Shayara kehti hain kay unkay aangan mein mousam e gul thehar jaye ga yani bahar ka mousam rahy ga jab unka mehboob unkay pas aayega aur unhein uska sath naseeb hoga.
Aakhirish wo bhi kahin rait py bethi hogi
آخرش وہ بھی کہیں ریت پہ بیٹھی ہوگی
Parveen Shakir raqabat ka izhaar kar rahi hain. Wo kehti hain kay meta mehboob jis dosri aurat sy milta hai aakhir wo bhi kisi rait py bethi hogi aur usky intazar mein hogi.
Tera yeh pyar bhi dariya hai utar jaye ga
تیرا یہ پیار بھی دریا ہے اُتر جائے گا
Parveen Shakir apny mehboob ko kehti hain kay uska pyar aik dariya ki manind hai aur jo aurat usky intazar mein rait py bethi hogi us ki taraf pyar ka dariya utar jayega aur us sy ja mily ga.
Mujhko tehzeeb kay barzakh ka banaya waris
مجھ کو تہذیب کے برزخ کا بنایا وارث
Shayara kehti hain kay mery mehboob ny kisi aur ki janib apni nigah krli hai aur mujhy tehzeeb kay barzakh ka waris bana dia hai yani shayara ka mehboob unhein rasm o riwaj samjha raha hai.
Jurm yeh bhi mery ajdad kay sar jaye ga
جرم یہ بھی مرے اجداد کے سر جائے گا
Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob unhein rasm o riwaj sikhany mein lag gya hai aur shayara kehti hain kay unka yeh jurm bhi unky ajdad kay sar hi jayega.
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!