Skip to content
Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi

Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi Main apny hath sy uski dulhan sajaon gi Sapurd kar ky usy chandani kay hathon mein Main apny ghar kay andheron ko lout aaon gi Badan kay kurb ko wo bhi samajh na paye ga Main dil mein royon gi aankhon mein muskuraon gi Wo kya gya kay rafaqat kay sary lutaf gye Main kis sy roth sakon gi kisy manaon gi Ab uska fun tw kisi aur sy hua mansob Main kiski nazam akely mein gungunaon gi Wo aik rishta e beynaam bhi nahi lekin Main ab bhi usky isharon py sar jhukaon gi Bicha dia tha gulabon kay sath apna wajood Wo so kay uthy tw khwabon ki rakh uthaon gi Sama,aton mein ghany janglon ki sansein hain Main ab kabhi teri awaaz sun na paon gi Jawaz dhondh raha tha nayi muhabbat ka Wo keh raha tha kay main usko bhool jaongi

Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi

کمال ضبط کو خود بھی تو آزماؤں گی

Parveen Shakir kehti hain is duniya kay log bohat say dukhon py zabt ka muzahira krty hain. Wo kehti hain kay wo aesy dukh py zabt kreingi kay unka zabt kamal ka zabt kehlaye ga. Wo kehti hain kay main aesy zabt ko aazmaon gi kay dekhny waly dang reh jayein gy.

Main apny hath sy uski dulhan sajaon gi

میں اپنے ہاتھ سے اُس کی دلہن سجاؤں گی

Shayara kehti hain kay unka mehboob unko chor kar kisi aur sy shadi kar raha hai aur wo khud apny hathon sy apny mehboob ki dulhan ko sajayein gi. Aesa kar kay wo apny zabt ka muzahira krein gi.

Sapurd kar ky usy chandani kay hathon mein

سپرد کر کے اُسے چاندنی کے ہاتھوں میں

Parveen Shakir kehti hain kay wo apny hathon sy apny mehboob ko chandani yani kisi aur aurat kay sapurd kar deingi. Wo apny mehboob kay daman ko khushiyon sy bhar deingi.

Main apny ghar kay andheron ko lout aaon gi

میں اپنے گھر کے اندھیروں کو لوٹ آؤں گی

Shayara kehti hain kay apny mehboob ko kisi aur kay sapurd kar kay wo apny ghar kay andheron ko lout aayein gi yani ab unka ghar tanhai kay andheron mein doob jayega aur sirf dukh unky sathi hongy.

Badan kay kurb ko wo bhi samajh na paye ga

بدن کے کرب کو وہ بھی سمجھ نہ پائے گا

Parveen Shakir kehti hain kay main yun zahir krungi kay mery badan kay kurb ko mera mehboob bhi samjh nhin paaye ga yani shayara aesi adakaari kreingi kay unka mehboob unky dukh aur gham sy anjaan rahy ga.

Main dil mein royon gi aankhon mein muskuraon gi

میں دل میں روؤں گی آنکھوں میں مُسکراؤں گی

Parveen Shakir kehti hain kay main apny is dukh py dil mein royon gi aankhon mein muskuraon gi yani bazahir wo khushi ka izhaar kreingi aur apny aanso apny mehboob ko nhin dikhayein gi. Unky gham aur dukh ko koi jaan nhin saky ga.

Wo kya gya kay rafaqat kay sary lutaf gye

وہ کیا گیا کہ رفاقت کے سارے لُطف گئے

Parveen Shakir kehti hain kay jab sy unka mehboob unhein chor kay chala gya tab sy rafaqat kay sary lutaf bhi chin gye hain. Mehboob kay sath wo khush hoti thin aur mehboob ka sath unkay lye bais e lutaf hota tha ab wo sara maza unsy chin gya hai.

Main kis sy roth sakon gi kisy manaon gi

میں کس سے روٹھ سکوں گی کسے مناؤں گی

Shayara kehti hain kay jab main apny mehboob sy roth jati thi tw wo mujhy manaya karta tha aur jab wo roth,ta tha tw main usy manati thi. Ab wo chala gya hai tw main kis sy rothon gi aur main ab kis ko manaon gi.

Ab uska fun tw kisi aur sy hua mansob

اب اُس کا فن تو کسی اور سے ہوا منسوب

Parveen Shakir kehti hain kay unky mehboob ka fun ab kisi aur sy mansob hogya hai. Unka mehboob ab kisi aur kay lye shayari likhy ga aur usky sary andaz ab kisi aur kay lye hongy.

Main kiski nazam akely mein gungunaon gi

میں کس کی نظم اکیلے میں گنگناؤں گی

Shayara kehti hain kay ab main kiski nazam akely mein gungunaon gi jesy wo pehly apny mehboob ki likhi hui nazmein gungunaya karti thin jo kay unky naam likhi gyi hoti thin. Ab tw unky mehboob ki sari shayari sary ilfaz kisi aur kay naam hongy.

Wo aik rishta e beynaam bhi nahi lekin

وہ ایک رشتۂ بے نام بھی نہیں لیکن

Shayara kehti hain kay unka aur unky mehboob ka ab koi beynaam sa rishta bhi nhin hai. Un kay darmiyan sary rishty khatam ho chuky hain aur unka mehboob ab unhein chor kay ja chuka hai.

Main ab bhi usky isharon py sar jhukaon gi

میں اب بھی اُس کے اِشاروں پہ سر جھکاؤں گی

Parveen Shakir kehti hain kay koi rishta na hony kay bawajood bhi wo apny mehboob kay isharon py sar jhukayein gi yani wo ab bhi apny mehboob ki har baat ko sunein gi uski har baat ko manein gi.

Bicha dia tha gulabon kay sath apna wajood

بچھا دیا تھا گلابوں کے ساتھ اپنا وجود

Shayara kehti hain kay unhon ny apny mehboob kay samny gulabon kay sath apna wajood bhi bicha dia tha aur apna sab kuch apny mehboob kay naam kar dia tha mgr unky mehboob ny ghaflat mein unky haseen khwabon ko tor dia.

Wo so kay uthy tw khwabon ki rakh uthaon gi

وہ سو کے اٹھے تو خوابوں کی راکھ اٹھاؤں گی

Shayara kehti hain kay jo khwaab unhon ny dekhy thy wo unky mehboob ny ghaflat mein reza reza kar dye hain. Wo kehti hain jab mera mehboob so kar uthy ga tw main apny khwabon ki rakh uthaon gi.

Sama,aton mein ghany janglon ki sansein hain

سماعتوں میں گھنے جنگلوں کی سانسیں ہیں

Parveen Shakir kehti hai kay pehly unki sama,atein sirf unky mehboob kay lye hoti thin. Wo apny mehboob ki har baat ko sunti thin aur uski awaaz unki sama,aton mein rehti thi magar ab unki sama,aton mein ghany janglon ki sansein hain yani ab unki sama,aton mein sirf janglon ki dasht hai aur weraniyan aur tanhaiyan hain.

Main ab kabhi teri awaaz sun na paon gi

میں اب کبھی تری آواز سن نہ پاؤں گی

Parveen Shakir kehti hain kay ab wo kabhi apny mehboob ki awaaz ko nhin sun payeingi kyun kay unki sama,aton mein ab sirf janglon ki dasht hai , weraniyan aur tanhaiyan hain aur unky mehboob ki awaaz ab unki sama,aton mein nhin hai.

Jawaz dhondh raha tha nayi muhabbat ka

جواز ڈھونڈ رہا تھا نئی محبت کا

Parveen Shakir kehti hain kay mera mehboob mujhy chor kay jany kay liy tarah tarah kay jawaz yani bahany dhondh raha tha taky wo unko chor kay kisi aur sy nayi muhabbat kar saky.

Wo keh raha tha kay main usko bhool jaongi

وہ کہہ رہا تھا کہ میں اُس کو بھول جاؤں گی

Shayara kehti hain kay unka mehboob unsy keh raha tha kay wo usy bhool jayein gi jab kay unka mehboob khud unko chor kay kisi aur kay pas ja raha tha aur unhein tanha chor raha tha.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!