Skip to content
Ku ba ku phail gyi baat shanasai ki

Ku ba ku phail gyi baat shanasai ki, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Ku ba ku phail gyi baat shanasai ki” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Ku ba ku phail gyi baat shanasai ki” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Ku ba ku phail gyi baat shanasai ki Usny khushbu ki tarah meri pazirai ki Kaisy keh dun kay mujhy chor dia hai usny Baat tw sach hai magar baat hai ruswai ki Wo kahin bhi gya louta tw mery pas aaya Bas yahi baat hai achi mery harjai ki Tera pehlu teray dil ki tarah aabad rahay Tujh py guzry na qyamat shab e tanhai ki Rooh tak aagyi taseer masihai ki Ab bhi barsaat ki raaton mein badan tout'ta hai Jaag uth'ti hain ajab khwahishein angrai ki

Ku ba ku phail gyi baat shanasai ki

کو بہ کو پھیل گئی بات شناسائی کی

Is misry mein Parveen Shakir bayan krti hain kay unki aur unkay mehboob ki ishq ki dastaan ku ba ku phail gyi hai. Yani unki unkay mehboob kay sath shanasai ki baat har jaggah logon ko maloom hogyi hai.

Usny khushbu ki tarah meri pazirai ki

اُس نے خوشبو کی طرح میری پذیرائی کی

Parveen shakir kehti hain kay jis tarah khushbu dar phool ki khushbu fiza mein phail jati hai aur us khushbu ki pazirai hojati hai bilkul usi tarah unkay mehboob ny unki muhabbat ki kahani ko har jaggah phaila dia hai.

Kaisy keh dun kay mujhy chor dia hai usny

کیسے کہہ دوں کہ مجھے چھوڑ دیا ہے اُس نے

Parveen Shakir kehti hain kay wo yeh kis tarah keh dein kay unkay mehboob ny unhein chor dia hai. Wo is baat py naaz krti thin kay unka mehboob sab sy juda hai aur wo kabhi unko tanha nhin chory ga. Mgr ab unkay mehboob ny unko chor dia hai aur wo yeh baat apny honton sy bayan nhin kr saktin.

Baat tw sach hai magar baat hai ruswai ki

بات تو سچ ہے مگر بات ہے رُسوائی کی

Parveen Shakir kehti hain kay yeh baat sach hai kay unkay mehboob ny unko rastay mein tanha chor dia hai magar yeh baat unkay lye ruswai ki baat hai. Jis mehboob kay sath py unko fakhar tha wo sath ab baaki nhin rha aur is baat ko shayara ny ruswai ki baat kaha hai.

Wo kahin bhi gya louta tw mery pas aaya

وہ کہیں بھی گیا لوٹا تو مرے پاس آیا

Parveen Shakir apny mehboob kay bary mein yeh baat bayan krti hain kay mera mehboob kyi baar kisi aur manzil ki janib gya hai magar jab bhi wahan sy wapis aaya tw mery pas hi aaya. Unka mehboob kahin bhi jata tha jab bhi lout kay aata tha tw unkay pas hi aata tha.

Bas yahi baat hai achi mery harjai ki

بس یہی بات ہے اچھی مرے ہرجائی کی

Shayara bayan krti hain kay mery mehboob ki yehi baat achi hai kay wo jab bhi kahin jata hai tw lout kay mery pas hi aata hai. Apny mehboob ko shayara ny is misry mein harjai kaha aur apny harjai ki unki janib lout kay aany wali baat ko achi baat kaha hai.

Tera pehlu teray dil ki tarah aabad rahay

تیرا پہلو ترے دل کی طرح آباد رہے

Parveen Shakir apny mehboob ko kehti hain kay jis tarah tera dil aabad hai, jis tarah teray dil mein itny log bastay hain bilkul usi tarah teray pehlu mein bhi log rahein aur tera pehlu bhi teray dil ki tarah aabad rahay. Shayara apny liy gham aur apny mehboob kay liy khushi ka izhaar kar rahi hain.

Tujh py guzry na qyamat shab e tanhai ki

تجھ پہ گزرے نہ قیامت شبِ تنہائی کی

Parveen Shakir apny mehboob ko kehti hain kay jis tarah tu mujhsy dour rehta hai aur shab e tanhai ki qyamat mujh py guzarti hai, us tarah tujh py koi shab qyamat ban kay na guzry. Wo apny mehboob ko dua dey rahi hain kay tujh py shab e tanhai ki qyamat na guzry.

Usny jalti hui peshani py jab hath rakha

اُس نے جلتی ہوئی پیشانی پہ جب ہاتھ رکھا

Parveen Shakir kehti hain kay mery mehboob ny mujh py bohat sitam kiy, usny auron sy dil lagaya aur tarah tarah sy mujhy takaleef din. Jab mery mehboob kay zulm sy mera jisam jal raha tha tab us bewafa ny aaky meri jalti hui peshani py apna hath rakha.

Rooh tak aagyi taseer masihai ki

روح تک آ گئی تاثیر مسیحائی کی

Parveen Shakir bayan karti hain kay jab us bewafa ny meri jalti hui peshani py apna hath rkha tw uski masihai ki taseer rooh tak utar aayi. Meri rooh bilkul tar o taza hogyi aur har zakham ko rahat mil gyi.

Ab bhi barsaat ki raaton mein badan tout'ta hai

اب بھی برسات کی راتوں میں بدن ٹوٹتا ہے

Parveen Shakir kehti hain kay jab bhi barsaat ka mousam aata hai. Wo mousam boht suhana hota hai aur mujhy mery mehboob ki yaad aati hai. Barsaat kay mousam mein mehboob ki yaad ka aana aik khobsurat manzar hai.

Jaag uth'ti hain ajab khwahishein angrai ki

جاگ اٹھتی ہیں عجب خواہشیں انگڑائی کی

Is misry mein shayara romanvi andaz mein bayan krti hain kay jab barsaat kay mousam mein mehboob ki yaad aati hai tw angrai ki ajab khwahishein jaag jaati hai.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!