Skip to content
Baja kay aankh mein neendon kay silsilay bhi nhin

Baja kay aankh mein neendon kay silsilay bhi nhin, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Baja kay aankh mein neendon kay silsilay bhi nhin” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Baja kay aankh mein neendon kay silsilay bhi nhin” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Baja kay aankh mein neendon kay silsilay bhi nhin Shikast khwab kay ab mujh mein hoslay bhi nhin Nhin nhin yeh khabar dushmanon ny di hogi Wo aaye aa kay chaly bhi gye mily bhi nhin Yeh kon log andheron ki baat karty hain Abhi tw chaand teri yaad kay dhaly bhi nhin Abhi sy mery rafugar kay hath thakny lagy Abhi tw chaak mery zakham kay silay bhi nhin Khafa agarche hamesha huye magar ab kay Wo barhami hai kah hum sy unhein gilay bhi nhin

Baja kay aankh mein neendon kay silsilay bhi nhin

بجا کہ آنکھ میں نیندوں کے سِلسِلے بھی نہیں

Parveen Shakir kehti hain kay wo manti hain kay unki aankhon mein ab neendon kay silsilay nhin hain yani wo jazbaat, wo muhabbat ki tapish ab shayara ki aankhon mein nhin hai.

Shikast khwab kay ab mujh mein hoslay bhi nhin

شکست خواب کے اَب مجھ میں حُوصلے بھی نہیں

Shayara kehti hain kay ab un mein shikast khwab kay hoslay nhin hain. Neend aany py khwab aaty hain aur khwab poray na hoon tw wo tout jaty hain. Wo ab muhabbat nhin karna chahti hain. Un mein khwabon ko tout,ta hua dekhny kay hoslay nhin hain.

Nhin nhin yeh khabar dushmanon ny di hogi

نہیں نہیں یہ خبر دشمنوں نے دی ہوگی

Parveen Shakir apny mehboob sy be intaha muhabbat ka izhaar karty huye kehti hain kay yeh khabar jo un tak aayi hai wo dushmanon ki taraf sy aayi hogi. Mehboob kay khilaaf kisi baat py unko yakeen nhin aaraha.

Wo aaye aa kay chaly bhi gye mily bhi nhin

وہ آئے آ کے چلے بھی گئے ملے بھی نہیں

Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob unki gali mein aaya aur unsy mily bagair chala gya yeh koi afwah hogi jo dushmanon ny phailai hogi jo unki muhabbat sy jalty hain.

Yeh kon log andheron ki baat karty hain

یہ کون لوگ اندھیروں کی بات کرتے ہیں

Parveen Shakir kehti hain kay wo log kon hain jo unki zindagi kay andheron ki baat kar rahy hain. Wo kehty hain kay shayara dukh aur pareshanion mein mubtala hain. Wo unsy unky gham ki wajah pochty hain jabky unhein koi gham nhin hai.

Abhi tw chaand teri yaad kay dhaly bhi nhin

ابھی تو چاند تری یاد کے ڈھلے بھی نہیں

Shayara kehti hain kay unko koi gham nhin hai. Unky mehboob ki yaad kay chaand abhi dhalay bhi nhin hain jo unki zindagi ko roshan kar rahy hain. Mehboob ki yaadein unki zindagi mein sukoon ka bais hain.

Abhi sy mery rafugar kay hath thakny lagy

ابھی سے میرے رفوگر کے ہاتھ تھکنے لگے

Parveen Shakir kehti hain kay jo unka rafugar hai usky hath abhi sy thakny lagy hain. Wo shakhs jinhon ny unky zakhmon py marham rakhna tha aur unky ghamon ko dour karna tha uskay hoslay abhi sy tout rahy hain.

Abhi tw chaak mery zakham kay silay bhi nhin

ابھی تو چاک مرے زخم کے سِلے بھی نہیں

Shayara kehti hain kay unky zakhmon kay chaak abhi silay bhi nhin hain. Unky gham abhi dour nhin huye. Jisny unky gham dour karny thy wo unko dilaasa bhi nhin dy saka aur thak gya hai.

Khafa agarche hamesha huye magar ab kay

خفا اگرچہ ہمیشہ ہوئے مگر اَب کے

Parveen Shakir kehti hain kay wo aur unka mehboob aik dosry sy hamesha khafa hoty rahy hain lekin ab jo halaat hain wo kuch mukhtalif hain. Unka mehboob unsy dour hogya hai.

Wo barhami hai kah hum sy unhein gilay bhi nhin

وہ برہمی ہے کہ ہم سے انہیں گِلے بھی نہیں

Shayara kehti hain kay unkay mehboob aur unky darmiyan aesi barhami hogyi hai kay usy ab shayara sy koi gila nhin hai aur ab khamoshi chaa gyi hai. Unki muhabbat ka ikhtataam hony wala hai.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!

× Click to WhatsApp