Rasta bhi kathin dhoop mein shiddat bhi bohat thi
Rasta bhi kathin dhoop mein shiddat bhi bohat thi, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal
This post provides ”Rasta bhi kathin dhoop mein shiddat bhi bohat thi” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Rasta bhi kathin dhoop mein shiddat bhi bohat thi” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Rasta bhi kathin dhoop mein shiddat bhi bohat thi
رستہ بھی کٹھن دھوپ میں شدت بھی بہت تھی
Parveen Shakir kehti hain kay manzil ki janib safar karny waly musafir kay liy rasta bohat kathin tha. Rasty mein tarah tarah ki mushkilaat thin. Dhoop mein shiddat bhi bohat thi aur uska safar dushwar hogya tha.
Saaye sy magar usko muhabbat bhi bohat thi
سائے سے مگر اُس کو محبت بھی بہت تھی
Shayara kehti hain kay musafir ko saaye sy bohat muhabbat thi. Usny apni zindagi mein kabhi mushkilaat nhin dekhi thin. Wo hamesha sy rahaton ka aadi tha.
Khaimy na koi mery musafir kay jalaaye
خیمے نہ کوئی میرے مسافر کے جلائے
Parveen Shakir kehti hain kay musafir kay khaimy koi na jalaaye. Uska safar bohat mushkil hai. Us kay liy mazeed mushkilaat paida na ki jayein. Usy in musaib ki aadat nhin hain.
Zakhmi tha bohat paon musafat bhi bohat thi
زخمی تھا بہت پاؤں مسافت بھی بہت تھی
Shayara kehti hain kay jo musafir apni manzil ki janib rawaan hai usky paon chal chal kar zakhmi ho chuky hain aur abhi bohat musafat rehti hai yani usko abhi lamba safar karna hai.
Sab dost mery muntazir parda e shab thy
سب دوست مرے منتظر پردۂ شب تھے
Shayara kehti hain kay usky sab dost shab kay parday kay muntazir thy. Unky sab dost safar karny kay liy raat hony ka intazar kar rahy thy.
Din mein tw safar karny mein diqat bhi bohat thi
دن میں تو سفر کرنے میں دِقت بھی بہت تھی
Parveen Shakir kehti hain kay din mein safar karny mein bohat diqat thi. Din mein dhoop ko bardasht karna parta hai aur rasty mein bohat dushwarian hoti hain.
Baarish ki duayon mein nami aankh ki mil jaaye
بارش کی دعاؤں میں نمی آنکھ کی مل جائے
Parveen Shakir baarish mein mangi hui duayon ka zikar kar rahi hain. Wo kehti hain kay un duayon mein agar aankh ki nami mil jaaye tw aesa tasavur kia jata hai kay wo duayein is jahaan ka malik qabool farmaye ga.
Jazbay ki kabhi itni rafaqat bhi bohat thi
جذبے کی کبھی اتنی رفاقت بھی بہت تھی
Shayara bayan karti hain kay kabhi jazbay ki itni rafaqat bhi bohat thi kay baarish kay waqat dua maangty huy aankh nam hojati thi.
Kuch tw tery mousam hi mujhy raas kam aaye
کچھ تو ترے موسم ہی مجھے راس کم آئے
Parveen Shakir kehti hain kay unky mehboob kay mousam unhein kam raas aaye yani jis tarah shayara ka mehboob baat karta tha aur usky tamam andaz shayara ko pasand nhin aaty thy.
Aur kuch meri mitti mein bagawat bhi bohat thi
اور کچھ مری مِٹّی میں بغاوت بھی بہت تھی
Shayara kehti hain kay unki mitti mein bagawat bohat thi. Unko apny mehboob kay andaz pasand nhin aaty thy. Wo jis mitti sy bani thin us mitti mein bagawat thi yani unki aadat mein bagawat thi.
Phoolon ka bikharna tw muqaddar hi tha lekin
پھولوں کا بکھرنا تو مقدر ہی تھا لیکن
Parveen Shakir kehti hain kay jab koi phool khilta hai tw usky muqaddar mein bikhar jana likh dia jata hai. Kyun kay har phool khilny kay kuch arsy baad tout kar bikhar jata hai. Phool kay bikhar jany sy unhon ny apny aur apny mehboob ki muhabbat ka zikar kia hai.
Kuch is mein hawayon ki syasat bhi bohat thi
کچھ اِس میں ہواؤں کی سیاست بھی بہت تھی
Shayara kehti hain kay phool tout kar bikhar gya hai lekin is mein hawayon ki syasat thi. Zamany kay sitam aur ghamon ny us phool ko waqat sy pehly bikhar jany par majboor kar dia. Zamany ki sazishon ny unky aur unky mehboob k darmiyan fasla qaim kardia.
Wo bhi sar e maqtal hai kah sach jiska tha shahid
وہ بھی سرِ مقتل ہے کہ سچ جس کا تھا شاہد
Parveen Shakir kehti hain kay yeh zamana jis shakhs ka shahid sach tha usko bhi sar e maqtal le aaya hai. Wo kehti hain kay jo shakhs bilkul masoom tha usy bhi saza sunai jati hai.
Aur waqif e ahwal e adalat bhi bohat thi
اور واقفِ احوالِ عدالت بھی بہت تھی
Shayara kehti hain kay wo masoom shakhs jisky adalat mein bohat waqif thy, wo bilkul bey qasoor tha aur wo zamany ki wajah sy maqtal mein khara tha.
Is tark e rafaqat py pareshan tw hon lekin
اس ترکِ رفاقت پہ پریشاں تو ہوں لیکن
Parveen Shakir kehti hain kay wo apny aur apny mehboob kay darmiyan muhabbat kay khatam hojany py bohat pareshan hain. Unka mehboob unhein rasty mein tanha chor gya hai.
Ab tak kay tery sath py hairat bhi bohat thi
اَب تک کے ترے ساتھ پہ حیرت بھی بہت تھی
Shayara kehti hain kay wo apny mehboob kay ab tak kay sath py hairat mein mubtala hain. Wo hairan hain kay pehly kaisy jazbaat hua karty thy jab wo mehboob kay sath thin aur ab jazbaat bilkul badal gye thy. Wo kehti hain kay unky mehboob kay ilfaaz mazi sy ikhtalaf krty hain.
Khush aaye tujhy shahar e munafiq ki ameeri
خوش آئے تجھے شہرِ مُنافق کی امیری
Parveen Shakir apny mehboob ko kehti hain kay wo munafiqon kay shahar mein aabad hai aur unky jesa hogya hai. Wo kehti hain kay unky mehboob ko munafiqon kay shahar ki har khushi raas aajaye.
Hum logon ko sach kehny ki aadat bhi bohat thi
ہم لوگوں کو سچ کہنے کی عادت بھی بہت تھی
Shayara kehti hain kay hum logon ko sach kehny ki aadat thi. Wo apny mehboob ki tarah munafiq nhin ban sakti thin. Unhon ny hamesha sach hi kaha.
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!