Skip to content
Apni ruswai tery naam ka charcha dekhun

Apni ruswai tery naam ka charcha dekhun, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Apni ruswai tery naam ka charcha dekhun” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Apni ruswai tery naam ka charcha dekhun” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Apni ruswai tery naam ka charcha dekhun Ek zara shair kahun aur main kya kya dekhun Neend aajae tw kya mehfilein barpa dekhun Aankh khul jaye tw tanhai ka sehra dekhun Sham bhi hogyi dhundla gyin aankhein bhi meri Bholnay waly main kab tak tera rasta dekhun Aik ek kar ky mujhy chor gyin sab sakhiyan Aaj main khud ko teri yaad mein tanha dekhun Kash sandal sy meri mang ujalay aakar Itny gairon mein wohi hath jo apna dekhun Tu mera kuch nhin lagta hai magar jaan e hayat Jany kyun tery liy dil ko dhadakta dekhun Band kar kay meri aankhein wo shararat sy hansy Bojhy jany ka main har roz tamasha dekhun Sab zidein uski main pori krun har baat sunon Aik bachy ki tarah sy usy hansta dekhun Mujhy py chaa jaye wo barsaat ki khushbu ki tarah Ang ang apna usi rut mein mehakta dekhun Phool ki tarah mery jisam ka har lab khil jaye Pankhuri pankhuri un honton ka saya dekhun Main ny jis lamhy ko poja hai usy bas ek bar Khwab ban kar teri aankhon mein utarta dekhun Tu meri tarah sy yakta hai magar mery habib Jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun Tout jayein keh pighal jayein mery kachy gharay Tujh ko main dekhun keh yeh aag ka dariya dekhun

Apni ruswai tery naam ka charcha dekhun

اپنی رُسوائی ترے نام کا چرچا دیکھوں

Parveen Shakir kehti hain kay wo zamany mein apny mehboob kay naam kay charchay dekhti hain aur usi zamany mein shayara apni ruswai ko dekhti hain.

Ek zara shair kahun aur main kya kya dekhun

اِک ذرا شعر کہوں اور میں کیا کیا دیکھوں

Parveen Shakir kehti hain kay unky aik shair kehny sy unhein bohat kuch dekhna parta hai. Zamany bhar mein unki ruswai hojati hai.

Neend aajae tw kya mehfilein barpa dekhun

نیند آ جائے تو کیا محفلیں برپا دیکھوں

Shayara kehti hain jab mujhy neend aajati hai tw main apny mehboob kay khyalon mein gum hojati hoon aur mehfilon ki tarah samaa hojata hai. Unky dil ko in mehfilon sy sukoon aata hai.

Aankh khul jaye tw tanhai ka sehra dekhun

آنکھ کھل جائے تو تنہائی کا صحرا دیکھوں

Parveen Shakir kehti hain kay jab neend sy unki aankh khul jati hai tw unky samny tanhai ka sehra hota hai jahan dour dour tak unka mehboob nhin hota. Unky sary khwab aur khyal tout jaty hain.

Sham bhi hogyi dhundla gyin aankhein bhi meri

شام بھی ہو گئی دھندلا گئیں آنکھیں بھی مری

Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob subh ka gya hai aur sham hony ko aagyi hai. Mehboob kay intazar mein shayara ki aankhein dhundla gyi hain magar wo abhi tak wapis nhin aaya.

Bholnay waly main kab tak tera rasta dekhun

بھولنے والے میں کب تک ترا رستا دیکھوں

Shayara kehti hain kay unka mehboob unky pas aana bhool gya hai aur usky intazar mein unki aankhein dhundla gyi hain. Shayara apny mehboob sy sawaal karti hain kay wo kab tak uska rasta dekhti rahein.

Aik ek kar ky mujhy chor gyin sab sakhiyan

ایک اِک کر کے مجھے چھوڑ گئیں سب سکھیاں

Parveen Shakir kehti hain kay wo apny mehboob kay jany kay baad khushi sy dour hogyin aur unki sab dostein bhi unhein aik aik kar kay chor gyin. Mehboob kay gham mein wo hansna bhool gyin.

Aaj main khud ko teri yaad mein tanha dekhun

آج میں خود کو تری یاد میں تنہا دیکھوں

Shayara kehti hain kay jab unky mehboob ny unhein chor dia tw wo tanha reh gyin. Unky pas sirf unky mehboob ki yaadein reh gyin. Unki sab dostein bhi unhein chor kar chaly gye.

Kash sandal sy meri mang ujalay aakar

کاش صندل سے مری مانگ اُجالے آ کر

Shayara kehti hain kay kash koi kahin dour sy aajaye aur sandal sy unki mang ujalay yani koi shakhs aakar un sy unsy shadi kar ly.

Itny gairon mein wohi hath jo apna dekhun

اتنے غیروں میں وہی ہاتھ جو اپنا دیکھوں

Shayara kehti hain kay bhari duniya mein itny gairon mein sirf us aik hath ko apna dekhti hain jo sirf unka khwab aur khyal hain. Jiska haqeeqat mein koi wajood nhin hai.

Tu mera kuch nhin lagta hai magar jaan e hayat

تو مرا کچھ نہیں لگتا ہے مگر جانِ حیات

Parveen Shakir is misry mein apny mehboob ko jaan e hayat yani zindagi ki jaan keh kar mukhatib hoti hain. Wo apny mehboob ko kehti hain kay wo unko chor gya hai aur ab wo unka kuch nhin lagta. Unka koi rishta nhin hai.

Jany kyun tery liy dil ko dhadakta dekhun

جانے کیوں تیرے لیے دل کو دھڑکتا دیکھوں

Shayara kehti hain kay unka mehboob unhein tanha chor gya hai phir bhi shayara apny dil ko mehboob kay liy dhadakta hua dekhti hain yani apny mehboob kay liy unky jazbaat aur ehsasaat ab bhi pehly jesy hain.

Band kar kay meri aankhein wo shararat sy hansy

بند کر کے مری آنکھیں وہ شرارت سے ہنسے

Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob shararat sy unki aankhon ko bad karta tha aur apny is amal par wo hansa karta tha. Shayara ko yeh manzar bohat pasand tha.

Bojhy jany ka main har roz tamasha dekhun

بوجھے جانے کا میں ہر روز تماشا دیکھوں

Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob jab unki aankhyn band karta tha tw wo unhein ishara karta tha kay wo uska naam bojhein aur shayara uska naam jaan lia krti thin. Wo roz yahi tamasha dekha karti thin.

Sab zidein uski main pori krun har baat sunon

سب ضدیں اُس کی میں پوری کروں ہر بات سنوں

Parveen Shakir kehti hain kay wo apny mehboob ki har baat ko sunti thin aur uski har zid ko pora kia karti thin. Unhein apny mehboob ki har zid ko pora karna bohat acha lagta tha.

Aik bachy ki tarah sy usy hansta dekhun

ایک بچے کی طرح سے اُسے ہنستا دیکھوں

Shayara kehti hain kay jab aik bachy ki zid ko pora kia jata hai tab wo bacha khush hokar hansta hai bilkul wesy hi jab wo apny mehboob ki zidein pori karti thin tab unka mehboob hansa karta tha aur wo usy dekhti thin.

Mujh py chaa jaye wo barsaat ki khushbu ki tarah

مجھ پہ چھا جائے وہ برسات کی خوشبو کی طرح

Parveen Shakir kehti hain kay jis tarah barsaat kay baad barsaat ki khushbu sary ilaaqy mein chaa jati hai aur sab kuch mehakny lagta hai bilkul usi tarah unka mehboob bhi unky wajood py chaa jaya karta tha.

Ang ang apna usi rut mein mehakta dekhun

اَنگ اَنگ اپنا اُسی رُت میں مہکتا دیکھوں

Parveen Shakir kehti hain kay jab barsaat ki khushbu ki tarah unka mehboob unky wajood py chaa jata tha tw wo apny ang ang ko uski rut mein mehakta hua dekhti thin. Jis tarah baarish kay baad sabza tar o taza hojata hai wesy hi shayara ka wajood ho jaya karta tha.

Phool ki tarah mery jisam ka har lab khil jaye

پھول کی طرح مرے جسم کا ہر لب کھل جائے

Shayara kehti hain kay jis tarah barsaat mein phool ki patiyan khil jati hain wesy hi apny mehboob kay sath shayara ka wajood bhi khil sa jata tha.

Pankhuri pankhuri un honton ka saya dekhun

پنکھڑی پنکھڑی اُن ہونٹوں کا سایا دیکھوں

Parveen Shakir ny is shair mein romanvi andaz apnaya hai. Wo kehti hain jis tarah phool ki har pankhuri py barsaat ka saya hota hai bilkul wesy hi wo apny mehboob kay honton ka saya wo apny wajood par dekhti thin.

Main ny jis lamhy ko poja hai usy bas ek bar

میں نے جس لمحے کو پوجا ہے اُسے بس اِک بار

Parveen Shakir apny khwab ka zikar kar rahi hain. Wo apni tamana aur dua ka zikar karty huy kehti hain kay main ny bas aik hi lamhy ko poja hai yani unhon ny bas aik hi khwahish ki hai kay wo apny mehboob kay sath apni zindagi kay lamhaat basar karein.

Khwab ban kar teri aankhon mein utarta dekhun

خواب بن کر تری آنکھوں میں اُترتا دیکھوں

Shayara kehti hain kay unki jo apny mehboob kay sath rehny ki khwahish hai, wo chahti hain kay wo us khwahish ko khwab ban kar unky mehboob ki aankhon mein utarny ka manzar dekhein. Wo chahti hain unka mehboob bhi bilkul unhi ki tarah sochny lag jaye

Tu meri tarah sy yakta hai magar mery habib

تو مری طرح سے یکتا ہے مگر میرے حبیب

Parveen Shakir kehti hain kay unka mehboob unki tarah sy yakta hai yani is duniya mein wo wahid hai aur usky jesa koi aur shakhs nhin hai. Wo us sy bay panah muhabbat karti hain.

Jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun

جی میں آتا ہے کوئی اور بھی تجھ سا دیکھوں

Shayara apny mehboob ki berukhi sy tang aa chuki hain. Wo chahti hain kay wo usky jesa koi aur shakhs bhi dekhein jis ka mawazna wo apny mehboob sy karein aur wo is duniya ko parakhna chahti hain.

Tout jayein keh pighal jayein mery kachy gharay

ٹوٹ جائیں کہ پگھل جائیں مرے کچے گھڑے

Shayara kehti hain kay unky kachy gharay tout jayein gy ya phir pighal jayein gy agar wo apny mehboob ki janib jayein gi. Wo kehna chahti hain kay unka apny mehboob sy mil jana bilkul na mumkin sa hogya hai

Tujh ko main dekhun keh yeh aag ka dariya dekhun

تجھ کو میں دیکھوں کہ یہ آگ کا دریا دیکھوں

Parveen Shakir is mushkil mein hain kay wo apny mehboob ko dekhein ya phir apny aur apny mehboob kay darmiyan mojood aag kay dariya ko dekhein. Aag ka dariya unky kachay gharon ko pighla dega aur wo apny mehboob kay pas nhin ja sakyn gi.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!