Skip to content
Kuch tw hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi

Kuch tw hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Kuch tw hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Kuch tw hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Urdu Poetry of Parveen Shakir Ghazal of Parveen Shakir Sad Poetry of Parveen Shakir Love Poetry of Parveen Shakir Romantic Poetry of Parveen Shakir Parveen Shakir best poetry Kuch tw hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi Dil ko khushi kay sath sath hota raha malal bhi Baat wo aadhi raat ki raat wo poray chand ki Chand bhi ain chit ka uspy tera jamal bhi Sab sy nazar bacha kay wo mujhko kuch aesy dekhta Aik dafa tw ruk gyi gardish e mah u saal bhi Dil tw chamak saky ga kya phir bhi tarash kay dekh lein Sheesha giran e shahar kay hath ka yeh kamal bhi Usko na pa saky thy jab dil ka ajeeb haal tha Ab jo palat kay dekhiye baat thi kuch muhaal bhi Meri talab tha aik shakhs wo jo nhin mila tw phir Hath dua sy yun gira bhool gya sawaal bhi Uski sukhan tarazian mery liy bhi dhaal thin Uski hansi mein chup gya apny gamon ka haal bhi Gah qareeb shah rag gah baeid weham u khwab Uski rafaqaton mein raat hijar bhi tha wisaal bhi Usky hi bazuon mein aur usko hi sochty rahy Jisam ki khwahishon py thy rooh kay aur jaal bhi Sham ki na samajh hawa poch rahi hai ek pata Moj e hawaye kuye yaar kuch tw mera khyal bhi

Kuch tw hawa bhi sard thi kuch tha tera khyal bhi

کچھ تو ہوا بھی سرد تھی کچھ تھا ترا خیال بھی

Parveen Shakir kehti hain kay kuch tw hawa bhi sard thi yani kay zamana un py sitam kr rha tha aur logon ka andaz unky liy sard tha. Is kay sath sath shayara ko apny mehboob ka khyaal bhi aata raha.

Dil ko khushi kay sath sath hota raha malal bhi

دل کو خوشی کے ساتھ ساتھ ہوتا رہا ملال بھی

Parveen Shakir kehti hain kay unky dil ko khushi kay sath sath malal bhi hota raha. Unko unky mehboob ka khyal aata rehta hai yeh baat unky liy khushi ki baat hai aur unpy zamany kay sitam unky lye bais e malal hain.

Baat wo aadhi raat ki raat wo poray chand ki

بات وہ آدھی رات کی رات وہ پورے چاند کی

Parveen Shakir farmati hain k baat wo aadhi raat ki yani aadhi aadhi raat tk wo apny mehboob ki baaton ko sochti rehti thin aur raat wo poray chand ki yani wo raatein haseen hoti thin jin mein wo mehboob ki baaton ko yaad kia karti thin. Shayara ny Choudhavin ki chand raat ko poray chand ki raat kaha hai jo aik haseen manzar hai.

Chand bhi ain chit ka uspy tera jamal bhi

چاند بھی عین چیت کا اُس پہ ترا جمال بھی

Parveen Shakir kehti hain kay chand bhi ain chit ka hota tha yani kay bilkul taabdar hota tha aur us haseen chand sy bhi zyada shayara ko apny mehboob ka jamal haseen lagta tha. Ain chit kay chand py shayara kay mehboob ka jamal ghalib aajata tha.

Sab sy nazar bacha kay wo mujhko kuch aesy dekhta

سب سے نظر بچا کے وہ مجھ کو کچھ ایسے دیکھتا

Is misry mein shayara bayan krti hain kay bhari mehfil mein unka mehboob sab sy nazrein bacha kay unko dekhta tha. Khobsorat mehfil mein bhi unky mehboob ki nazrein bas unki talash mein thin aur unhin py thehar jati thin.

Aik dafa tw ruk gyi gardish e mah u saal bhi

ایک دفعہ تو رُک گئی گردشِ ماہ و سال بھی

Parveen Shakir kehti hain kay jab unka mehboob sab sy nazrein bacha kay unhein dekh rha hota hai tw unko aesa maloom hota hai jesy chalta waqat ruk sa gya hai. Unhein aesa lgta hai jesy soraj ka nikalny aur garoob hony ka amal ruk gya hai. Mah u saal ki gardish bhi unko rukti hui mehsos hui.

Dil tw chamak saky ga kya phir bhi tarash kay dekh lein

دل تو چمک سکے گا کیا پھر بھی تراش کے دیکھ لیں

Parveen Shakir farmati hain kay dil ko jitna bhi tarash kar dekh lein dil kabhi bhi chamakta nhin hai. Dil kay chamakny kay liy zarori hai kay dil har tarah ki buri sochon sy paak ho aur andar sy maila na ho.

Sheesha giran e shahar kay hath ka yeh kamal bhi

شیشہ گرانِ شہر کے ہاتھ کا یہ کمال بھی

Parveen Shakir kehti hain kay phir bhi sheesha giran e shahar kay hath kay kamal ko dekh lety hain kay aaya wo dil ko tarash kar chamakdar bana sakty hain ya nhin. Shayara ka yakeen hai kay dil tarashny sy nhin badalta. Dil ki chamak sirf paak niyat sy hoti hai.

Usko na pa saky thy jab dil ka ajeeb haal tha

اُس کو نہ پا سکے تھے جب دل کا عجیب حال تھا

Is misry mein shayara apny gham aur dard ka izhaar kar rahi hain. Wo kehti hain kay jab wo apny mehboob ko hasil nhin kar saki thin tw unky dil ka ajeeb haal tha. Unka dil gham mein mubtala hogya tha. Unkay din raat ki tarah siyah hogye thy aur raatein dukh aur tanhai mein guzarti thin.

Ab jo palat kay dekhiye baat thi kuch muhaal bhi

اب جو پلٹ کے دیکھیے بات تھی کچھ محال بھی

Shayara kehti hain kay wo apny mehboob ko hasil nhin kar sakin aur unhon ny bohat gham bardasht kia. Ab jab wo palat kar apny maazi ko dekhti hain tw unko yeh maloom hota hai kay unka apny mehboob ko pa lena muhaal tha.

Meri talab tha aik shakhs wo jo nhin mila tw phir

میری طلب تھا ایک شخص وہ جو نہیں ملا تو پھر

Parveen Shakir kehti hain kay wo jab bhi is jahan kay banany waly kay samny hath uthati thin tw unki dua mein bas unky mehboob ka zikar hota tha. Wo apny khaliq sy sirf apny mehboob ka sath talab karti thin. Khuda kay samny unki talab sirf wo aik shakhs tha jo unko hasil nhin ho saka.

Hath dua sy yun gira bhool gya sawaal bhi

ہاتھ دعا سے یوں گرا بھول گیا سوال بھی

Shayara kehti hain kay jab unki talab sirf unka mehboob tha aur wo unko nhin mila tw unkay hath dua sy is tarah gir gye kay wo koi sawal krna hi bhool gye. Wo dua mangna hi bhool gye. Unky mehboob kay siwa unky pas talab karny kay liy kuch nhin tha.

Uski sukhan tarazian mery liy bhi dhaal thin

اس کی سُخن طرازیاں میرے لیے بھی ڈھال تھیں

Parveen Shakir kehti hain kay unky mehboob ki sukhan tarazian yani unkay mehboob ki baatein, uski hansi aur usky andaz shayara kay liy aik dhaal ban gye thy. Wo kehti hain kay har gham, har dukh aur zamany kay har sitam mein unky mehboob ka unsy baat krna unky liy aik sahara tha.

Uski hansi mein chup gya apny gamon ka haal bhi

اس کی ہنسی میں چُھپ گیا اپنے غموں کا حال بھی

Shayara kehti hain kay unko unky mehboob ki hansi bohat aziz thi. Unka har gham aur har qisam kay halaat unky mehboob ki hansi mein chup jaty thy. Unhein koi gham dikhai nhin deta tha. Wo apny mehboob kay sath tamam tar masail kay bawajood bohat khush thin.

Gah qareeb shah rag gah baeid weham u khwab

گاہ قریب شاہ رگ گاہ بعید وہم و خواب

Parveen Shakir is misry mein farsi zaban ko istamal karti hain. Wo kehti hain kay gah qareeb shah rag yani unka mehboob unkay liy utna hi qareeb tha jesy kay unki shah rag hai aur gah baeid weham u khwab yani unka mehboob phir unsy utna hi dour hogya jesy koi weham ya koi khwab hota hai. Unkay mehboob ka wajood unkay liy khwab jesa hogya yani bilkul haqeeqat sy dour.

Uski rafaqaton mein raat hijar bhi tha wisaal bhi

اُس کی رفاقتوں میں رات ہجر بھی تھا وصال بھی

Shayara kehti hain kay unkay mehboob ki rafaqatein yani unkay mehboob ka sath jab nhin hota tw unki raat hijar mein guzarti thi aur jab mehboob kay sath ki yaadein unkay pas hoti thin tw unki raat wisaal mein tabdeel hojati thi. Shayara apny mehboob ko tasavur mein laky us sy baat kar kay apny dil ko behlati thin.

Usky hi bazuon mein aur usko hi sochty rahy

اُس کے ہی بازوؤں میں اور اُس کو ہی سوچتے رہے

Shayara kehti hain kay jab wo apny mehboob kay qareeb hoti thin tab bhi wo uski yaadon mein gum hojati thin. Usky pas hony kay bawajood bhi wo usi ko sochny lag jati thin.

Jisam ki khwahishon py thy rooh kay aur jaal bhi

جسم کی خواہشوں پہ تھے روح کے اور جال بھی

Parveen Shakir kehti hain kay jisam ki khwahishon py thy rooh kay aur jaal bhi yani kay wo jisam ki bandishon sy nikal kar rooh kay tasavuraat mein gum hojati thin. Jisam ki khwahishon py jo rooh kay jaal hoty hain wo shayara ko jakar lety thy.

Sham ki na samajh hawa poch rahi hai ek pata

شام کی نا سمجھ ہوا پوچھ رہی ہے اِک پتا

Is misry mein Parveen Shakir kehti hain kay yeh jo sham ki na samajh hawa hai ye mujhsy aik hi pata poch rahi hai. Sham ki hawa ko shayara ny na samajh kaha hai kyun kay wo shayara ko unkay mehboob ki yaad dila rahi hai. Wo unsy unkay mehboob ka pata poch rahi hai.

Moj e hawaye kuye yaar kuch tw mera khyal bhi

موجِ ہوائے کوئے یار کچھ تو مرا خیال بھی

Shayara hawaye kuye yaar ki moj sy mukhatib hain kay wo unka kuch khyal kary. Unkay mehboob ki gali ki hawa unko unkay mehboob ki yaad dila rahi hai aur wo unkay dil kay zakhmon ka kuch khyal nhin karti.

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!