Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi
Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal
This post provides ”Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Kamal zabt ko khud bhi tw aazmaon gi
کمال ضبط کو خود بھی تو آزماؤں گی
Parveen Shakir kehti hain is duniya kay log bohat say dukhon py zabt ka muzahira krty hain. Wo kehti hain kay wo aesy dukh py zabt kreingi kay unka zabt kamal ka zabt kehlaye ga. Wo kehti hain kay main aesy zabt ko aazmaon gi kay dekhny waly dang reh jayein gy.
Main apny hath sy uski dulhan sajaon gi
میں اپنے ہاتھ سے اُس کی دلہن سجاؤں گی
Shayara kehti hain kay unka mehboob unko chor kar kisi aur sy shadi kar raha hai aur wo khud apny hathon sy apny mehboob ki dulhan ko sajayein gi. Aesa kar kay wo apny zabt ka muzahira krein gi.
Sapurd kar ky usy chandani kay hathon mein
سپرد کر کے اُسے چاندنی کے ہاتھوں میں
Parveen Shakir kehti hain kay wo apny hathon sy apny mehboob ko chandani yani kisi aur aurat kay sapurd kar deingi. Wo apny mehboob kay daman ko khushiyon sy bhar deingi.
Main apny ghar kay andheron ko lout aaon gi
میں اپنے گھر کے اندھیروں کو لوٹ آؤں گی
Shayara kehti hain kay apny mehboob ko kisi aur kay sapurd kar kay wo apny ghar kay andheron ko lout aayein gi yani ab unka ghar tanhai kay andheron mein doob jayega aur sirf dukh unky sathi hongy.
Badan kay kurb ko wo bhi samajh na paye ga
بدن کے کرب کو وہ بھی سمجھ نہ پائے گا
Parveen Shakir kehti hain kay main yun zahir krungi kay mery badan kay kurb ko mera mehboob bhi samjh nhin paaye ga yani shayara aesi adakaari kreingi kay unka mehboob unky dukh aur gham sy anjaan rahy ga.
Main dil mein royon gi aankhon mein muskuraon gi
میں دل میں روؤں گی آنکھوں میں مُسکراؤں گی
Parveen Shakir kehti hain kay main apny is dukh py dil mein royon gi aankhon mein muskuraon gi yani bazahir wo khushi ka izhaar kreingi aur apny aanso apny mehboob ko nhin dikhayein gi. Unky gham aur dukh ko koi jaan nhin saky ga.
Wo kya gya kay rafaqat kay sary lutaf gye
وہ کیا گیا کہ رفاقت کے سارے لُطف گئے
Parveen Shakir kehti hain kay jab sy unka mehboob unhein chor kay chala gya tab sy rafaqat kay sary lutaf bhi chin gye hain. Mehboob kay sath wo khush hoti thin aur mehboob ka sath unkay lye bais e lutaf hota tha ab wo sara maza unsy chin gya hai.
Main kis sy roth sakon gi kisy manaon gi
میں کس سے روٹھ سکوں گی کسے مناؤں گی
Shayara kehti hain kay jab main apny mehboob sy roth jati thi tw wo mujhy manaya karta tha aur jab wo roth,ta tha tw main usy manati thi. Ab wo chala gya hai tw main kis sy rothon gi aur main ab kis ko manaon gi.
Ab uska fun tw kisi aur sy hua mansob
اب اُس کا فن تو کسی اور سے ہوا منسوب
Parveen Shakir kehti hain kay unky mehboob ka fun ab kisi aur sy mansob hogya hai. Unka mehboob ab kisi aur kay lye shayari likhy ga aur usky sary andaz ab kisi aur kay lye hongy.
Main kiski nazam akely mein gungunaon gi
میں کس کی نظم اکیلے میں گنگناؤں گی
Shayara kehti hain kay ab main kiski nazam akely mein gungunaon gi jesy wo pehly apny mehboob ki likhi hui nazmein gungunaya karti thin jo kay unky naam likhi gyi hoti thin. Ab tw unky mehboob ki sari shayari sary ilfaz kisi aur kay naam hongy.
Wo aik rishta e beynaam bhi nahi lekin
وہ ایک رشتۂ بے نام بھی نہیں لیکن
Shayara kehti hain kay unka aur unky mehboob ka ab koi beynaam sa rishta bhi nhin hai. Un kay darmiyan sary rishty khatam ho chuky hain aur unka mehboob ab unhein chor kay ja chuka hai.
Main ab bhi usky isharon py sar jhukaon gi
میں اب بھی اُس کے اِشاروں پہ سر جھکاؤں گی
Parveen Shakir kehti hain kay koi rishta na hony kay bawajood bhi wo apny mehboob kay isharon py sar jhukayein gi yani wo ab bhi apny mehboob ki har baat ko sunein gi uski har baat ko manein gi.
Bicha dia tha gulabon kay sath apna wajood
بچھا دیا تھا گلابوں کے ساتھ اپنا وجود
Shayara kehti hain kay unhon ny apny mehboob kay samny gulabon kay sath apna wajood bhi bicha dia tha aur apna sab kuch apny mehboob kay naam kar dia tha mgr unky mehboob ny ghaflat mein unky haseen khwabon ko tor dia.
Wo so kay uthy tw khwabon ki rakh uthaon gi
وہ سو کے اٹھے تو خوابوں کی راکھ اٹھاؤں گی
Shayara kehti hain kay jo khwaab unhon ny dekhy thy wo unky mehboob ny ghaflat mein reza reza kar dye hain. Wo kehti hain jab mera mehboob so kar uthy ga tw main apny khwabon ki rakh uthaon gi.
Sama,aton mein ghany janglon ki sansein hain
سماعتوں میں گھنے جنگلوں کی سانسیں ہیں
Parveen Shakir kehti hai kay pehly unki sama,atein sirf unky mehboob kay lye hoti thin. Wo apny mehboob ki har baat ko sunti thin aur uski awaaz unki sama,aton mein rehti thi magar ab unki sama,aton mein ghany janglon ki sansein hain yani ab unki sama,aton mein sirf janglon ki dasht hai aur weraniyan aur tanhaiyan hain.
Main ab kabhi teri awaaz sun na paon gi
میں اب کبھی تری آواز سن نہ پاؤں گی
Parveen Shakir kehti hain kay ab wo kabhi apny mehboob ki awaaz ko nhin sun payeingi kyun kay unki sama,aton mein ab sirf janglon ki dasht hai , weraniyan aur tanhaiyan hain aur unky mehboob ki awaaz ab unki sama,aton mein nhin hai.
Jawaz dhondh raha tha nayi muhabbat ka
جواز ڈھونڈ رہا تھا نئی محبت کا
Parveen Shakir kehti hain kay mera mehboob mujhy chor kay jany kay liy tarah tarah kay jawaz yani bahany dhondh raha tha taky wo unko chor kay kisi aur sy nayi muhabbat kar saky.
Wo keh raha tha kay main usko bhool jaongi
وہ کہہ رہا تھا کہ میں اُس کو بھول جاؤں گی
Shayara kehti hain kay unka mehboob unsy keh raha tha kay wo usy bhool jayein gi jab kay unka mehboob khud unko chor kay kisi aur kay pas ja raha tha aur unhein tanha chor raha tha.
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!