Waqat e rukhsat aagya dil phir bhi ghabraya nhin
Waqat e rukhsat aagya dil phir bhi ghabraya nhin, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal
This post provides ”Waqat e rukhsat aagya dil phir bhi ghabraya nhin” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Waqat e rukhsat aagya dil phir bhi ghabraya nhin” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Waqat e rukhsat aagya dil phir bhi ghabraya nhin
وقتِ رُخصت آ گیا دل پھر بھی گھبرایا نہیں
Parveen Shakir kehti hain kay unky aur unky mehboob kay juda hony ka waqat aagya hai magar unka dil ghabra nhin raha. Unka mehboob unhein hamesha kay liy chor kar ja raha hai magar shayara ka dil ab ghamon ko bardasht kar kay mazboot ho chuka hai aur ghabra nhin raha.
Us ko hum kya khoyein gy jis ko kabhi paya nhin
اُس کو ہم کیا کھوئیں گے جِس کو کبھی پایا نہیں
Shayara kehti hain kay jis mehboob ko kabhi unhon ny paya hi nhin tha usko kya khoyein gi. Unka mehboob unky sath jab tha tab bhi unky darmiyan fasly thy aur ab jab wo ja raha hai tw shayara kehti hain kay unhon ny tw kabhi usy paya hi nhin tha isliy usy khony ki taklief nhin horhi.
Zindagi jitni bhi hai ab mustaqil sehra mein hai
زندگی جتنی بھی ہے اَب مُستقل صحرا میں ہے
Shayara kehti hain kay unki jitni bhi zindagi hai wo ab mustaqi sehra mein hai. Unki zindagi sehra ki tarah veiran hogyi hai aur ab wo tanha hain. Unki sari khushiyan fana hogyi hain.
Aur is sehra mein tera dour tak saaya nhin
اور اِس صحرا میں تیرا دور تک سایا نہیں
Parveen Shakir kehti hain kay unki zindagi kay sehra mein dour dour tak unky mehboob ka koi saaya mojood nhin hai. Har taraf rait hi rait hai. Unky mehboob ki wapasi ki koi umeed nhin hai. Unky mehboob ki wapasi ka koi rasta nhin bacha.
Meri qismat mein faqat dard teh sagar hi hai
میری قسمت میں فقط درد تہہ ساغر ہی ہے
Parveen Shakir kehti hain kay unki zindagi mein sagar ki teh tak sirf dard hai. Wo ghamon mein mubtala hogyi hain. Unki zindagi mein sirf takaleif aur dukh hain.
Awal shab e jaam meri simat wo laya nhin
اول شبِ جام میری سمت وہ لایا نہیں
Shayara kehti hain kay jo pehli shab ka jaam tha wo unka mehboob un tak nhin le kar aaya. Unky mehboob ny unky sath waqat nhin guzara aur unhein tanha chor dia.
Teri aankhon ka bhi kuch halka gulaabi rang tha
تیری آنکھوں کا بھی کچھ ہلکا گلابی رنگ تھا
Parveen Shakir kehti hain unky mehboob ki aankhon ka halka gulaabi rang ho chuka tha jesy wo pori shab soya na ho. Unka mehboob unsy dour reh kar kisi aur kay sath waqat guzarta tha.
Zehan ny mery bhi ab kay dil ko samjhaya nhin
ذہن نے میرے بھی اب کے دل کو سمجھایا نہیں
Shayara kehti hain unky zehan ny unky dil ko nhin samjhaya. Unka zehan janta tha kay unka mehboob unsy jhoot bol raha hai aur haqeeqat chupa raha hai magar unky dil ny mehboob ko jhoota nhin samjha aur us py yakeen kia
Kaan bhi khaali hain mery aur donon hath bhi
کان بھی خالی ہیں میرے اور دونوں ہاتھ بھی
Shayara kehti hain kay unky kaan aur hath bilkul khaali hain. In mein koi phool pehnany wala nhin hai. Bahar ka mousam aaya hai magar unka mehboob unky sath nhin hai.
Ab kay fasal e gul ny mujh ko phool pehnaya nhin
اب کے فصلِ گل نے مجھ کو پھول پہنایا نہیں
Parveen Shakir kehti hain kay ab jo bahar aayi hai is ny unko phool nhin pehnaya. Unko phool pehnany wala ab kisi aur sy mansoob hogya hai.
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!