Bakht sy koi shikayat hai na aflaak sy hai
Bakht sy koi shikayat hai na aflaak sy hai, Parveen Shakir Ki Urdu Ghazal
This post provides ”Bakht sy koi shikayat hai na aflaak sy hai” ghazal. If you are looking for Parveen Shakir’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Bakht sy koi shikayat hai na aflaak sy hai” which is a beautiful ghazal of Parveen Shakir. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Bakht sy koi shikayat hai na aflaak sy hai
بخت سے کوئی شکایت ہے نہ افلاک سے ہے
Parveen Shakir kehti hain kay unko bakht aur aflaak sy koi shikayat nhin hai yani unhein apni qismat sy, zaman o makan sy aur bhook pyaas sy koi gila nhin hai.
Yahi kya kam hai keh nisbat mujhy is khaak sy hai
یہی کیا کم ہے کہ نسبت مجھے اِس خاک سے ہے
Shayara kehti hain kay unki is paak sarzameen sy, is mitti sy nisbat hai aur ye koi kam baat nhin hai. Un kay liy ye bohat khaas baat hai aur unhein baaki koi shikayat nhin hai.
Khwab mein bhi tujhy bholon tw rawa rakh mujh sy
خواب میں بھی تجھے بھولوں تو روا رکھ مجھ سے
Shayara apny mehboob sy kehti hain kay agar wo koi khwab dekhy aur us khwab mein shayara usko bhool jayein tw unsy is baat ka badla ly. Wo apny mehboob ko kehti hain kat wo unsy bura rawaiya rakhy.
Wo rawaiya jo hawa ka khas o khashak sy hai
وہ رویہ جو ہوا کا خس و خاشاک سے ہے
Shayara kehti hain kay unka mehboob unkay sath wohi rawaiya ikhtiyar kary jo hawa ka khas o khashak kay sath hota hai. Jis tarah hawa apny rasty mein aany wali har choti chiz ko ura kar dour le jati hai bilkul wesy hi salook unka mehboob unky sath kary.
Bazam e anjum mein qaba khaak ki pehni main ny
بزمِ انجم میں قبا خاک کی پہنی میں نے
Parveen Shakir kehti hain kay sitaaron ki bazam mein wo khaak ka libaas pehan kar aayi thin. Mehfil mein sab khobsorat log shamil thy aur shayara ka libaas unky dukh aur gham ka izhaar kar raha tha.
Aur meri sari fazilat isi poshak sy hai
اور مری ساری فضیلت اِسی پوشاک سے ہے
Shayara kehti hain kay unki yahi poshak yani unky dukh aur pareshanian unki fazilat ka bais bani. Wo shair kehny lag gyin aur logon mein maqbol hogyin.
Itni roshan hai teri subh keh hota hai guman
اتنی روشن ہے تری صبح کہ ہوتا ہے گماں
Parveen Shakir kehti hain kay unky aur unky mehboob kay taluqat sahi nhin hain phir bhi unky mehboob ki subh bohat roshan hoti hai. Unka mehboob khush dikhai deta hai tw shayara ko uski khushi py shak hota hai.
Yeh ujaala tw kisi deeda e namnak sy hai
یہ اجالا تو کسی دیدۂ نمناک سے ہے
Shayara kehti hain kay unky mehboob kay chehry par jo ujaala hai wo kisi aur ki wajah sy hai. Unky mehboob ki khushi ka bais shayara nhin balky koi aur hai jo usy khushiyan de raha hai.
Hath tw kaat diy koza garon kay hum ny
ہاتھ تو کاٹ دیے کوزہ گروں کے ہم نے
Parveen Shakir kehti hain kay unhon ny koza garon kay hath kaat diy hain. Koza garon yani jo log mitti kay bartan banaty hain.
Muajazy ki wohi umeed magar chaak sy hai
معجزے کی وہی اُمید مگر چاک سے ہے
Shayara kehti hain kay unko muajazy ki umeed hai. Wo kehti hain kay gareban ko chaak karny sy koi karishma hony ki aas hai.
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!