Tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka woh zamana
Tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka woh zamana, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal
- Urdu Poetry
- Allama Iqbal
- Bait Bazi
- Urdu Ghazals
This post provides ”Tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka woh zamana” ghazal. If you are looking for Allama Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka woh zamana” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka woh zamana
تجھے یاد کیا نہیں ہے مرے دل کا وہ زمانہ
Woh adab gah muhabbat woh nigaah ka taziyana
وہ ادب گہ محبت وہ نگہ کا تازیانہ
Yeh butan-e-asr-e-haazir ke bane hain madrase mein
یہ بتانِ عصرِ حاضر کہ بنے ہیں مدرسے میں
Nah adaaye kafirana nah tarash-e-azrana
نہ ادائے کافرانہ نہ تراشِ آزرانہ
Nahin is khuli fiza mein koi gosha-e-faraqat
نہیں اس کھلی فضا میں کوئی گوشۂ فراغت
Yeh jahan ajab jahan hai nah qafas nah aashiana
یہ جہاں عجب جہاں ہے نہ قفس نہ آشیانہ
Rag-e-taak muntazir hai teri barish-e-karam ki
رگِ تاک منتظر ہے تری بارشِ کرم کی
Ke ajam ke may kadon mein nah rahi may Meghana
کہ عجم کے مے کدوں میں نہ رہی مے مغانہ
Mere ham safir ise bhi asar-e-bahar samjhe
مرے ہم صفیر اسے بھی اثرِ بہار سمجھے
Inhen kya khabar ke kya hai yeh nava-e-aashiqana
انہیں کیا خبر کہ کیا ہے یہ نوائے عاشقانہ
Mere khaak o khoon se toh ne yeh jahan kya hai paida
مرے خاک و خوں سے تو نے یہ جہاں کیا ہے پیدا
Silah-e-shaheed kya hai tab o taab-e-jawdana
صلۂ شہید کیا ہے تب و تابِ جاودانہ
Teri banda parvari se mere din guzar rahe hain
تری بندہ پروری سے مرے دن گزر رہے ہیں
Nah gilah hai doston ka nah shikayat-e-zamana
نہ گلہ ہے دوستوں کا نہ شکایتِ زمانہ
Rimsha Ashraf
Web Creator
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!
- Previous Post
- Next Post