Nah takht o taaj mein, na lashkar o sipah mein hai
Nah takht o taaj mein, na lashkar o sipah mein hai, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal
- Urdu Poetry
- Allama Iqbal
- Bait Bazi
- Urdu Ghazals
This post provides ”Nah takht o taaj mein, na lashkar o sipah mein hai” ghazal. If you are looking for Allama Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Nah takht o taaj mein, na lashkar o sipah mein hai” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Nah takht o taaj mein, na lashkar o sipah mein hai
نہ تخت و تاج میں ، نے لشکر و سپاہ میں ہے
Jo baat mard-e-qalandar ki barga mein hai
جو بات مردِ قلندر کی بارگاہ میں ہے
Sanam kada hai jahan aur mard e haq hai Khalil
صنم کدہ ہے جہاں اور مردِ حق ہے خلیل
Yeh nuqta woh hai ke poshida la ilaha mein hai
یہ نکتہ وہ ہے کہ پوشیدہ لا الہ میں ہے
Wahi jahan hai tera jis ko tu karay paida
وہی جہاں ہے ترا جس کو تو کرے پیدا
Yeh sang o kisht nahi jo teri nigah mein hai
یہ سنگ و خشت نہیں جو تری نگاہ میں ہے
Mah o sitarah se aage maqam hai jiska
مہ و ستارہ سے آگے مقام ہے جس کا
Woh musht e khak abhi aawaragan e rah mein hai
وہ مشتِ خاک ابھی آوارگانِ راہ میں ہے
Khabar mili hai khudayan e bahr o bar se mujhe
خبر ملی ہے خدایانِ بحر و بر سے مجھے
Firang rah guzar sel e be panaah mein hai
فرنگ رہ گزر سیلِ بے پناہ میں ہے
Talaash uski fizaon mein kar naseeb apna
تلاش اس کی فضاؤں میں کر نصیب اپنا
Jahan taza meri aah subh gah mein hai
جہان تازہ مری آہ صبح گاہ میں ہے
Mere kadu ko ghaneemat samajh ke bada e naab
مرے کدو کو غنیمت سمجھ کہ بادۂ ناب
Na madrasse mein hai baqi na khanqah mein hai
نہ مدرسے میں ہے باقی نہ خانقاہ میں ہے
Rimsha Ashraf
Web Creator
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!
- Previous Post
- Next Post