Skip to content
Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon

Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon” ghazal. If you are looking for Allama  Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon Khuda mujhe nafas-e-Jibreel de to kehun Sitara kya meri taqdeer ki khabar de ga Woh khud farakhi aflaak mein hai khwaar o zaboon Hayat kya hai khayaal o nazar ki majzoobi Khudi ki maut hai andesha haye gunan gun Ajab maza hai mujhe lazat-e-khudi de kar Woh chahte hain ke mein apne aap mein na rahoon Zameer paak o nigaah buland o musti e shauq Na maal o daulat-e-qaron na fikr-e-aflatoon Sabq mila hai yeh miraaj-e-Mustafa se mujhe Ke aalam-e-bashariat ki zad mein hai girdon Yeh kaainat abhi na-tamaam hai shayad Ke aa rahi hai damadam sadaaye kun fayakon Ilaj aatish-e-rumi ke soz mein hai tera Teri khird pe hai ghalib ferangiyon ka fasoon Usi ke fayz se meri nigaah hai roshan Usi ke fayz se mere saboo mein hai jaihoon

Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon

وہ حرفِ راز کہ مجھ کو سکھا گیا ہے جنوں

Khuda mujhe nafas-e-Jibreel de to kehun

خدا مجھے نفسِ جبرئیل دے تو کہوں

Sitara kya meri taqdeer ki khabar de ga

ستارہ کیا مری تقدیر کی خبر دے گا

Woh khud farakhi aflaak mein hai khwaar o zaboon

وہ خود فراخی افلاک میں ہے خوار و زبوں

Hayat kya hai khayaal o nazar ki majzoobi

حیات کیا ہے خیال و نظر کی مجذوبی

Khudi ki maut hai andesha haye gunan gun

خودی کی موت ہے اندیشہ ہائے گوناں گوں

Ajab maza hai mujhe lazat-e-khudi de kar

عجب مزہ ہے مجھے لذتِ خودی دے کر

Woh chahte hain ke mein apne aap mein na rahoon

وہ چاہتے ہیں کہ میں اپنے آپ میں نہ رہوں

Zameer paak o nigaah buland o musti e shauq

ضمیر پاک و نگاہ بلند و مستئ شوق

Na maal o daulat-e-qaron na fikr-e-aflatoon

نہ مال و دولتِ قاروں نہ فکرِ افلاطوں

Sabq mila hai yeh miraaj-e-Mustafa se mujhe

سبق ملا ہے یہ معراجِ مصطفیٰ سے مجھے

Ke aalam-e-bashariat ki zad mein hai girdon

کہ عالمِ بشریت کی زد میں ہے گردوں

Yeh kaainat abhi na-tamaam hai shayad

یہ کائنات ابھی ناتمام ہے شاید

Ke aa rahi hai damadam sadaaye kun fayakon

کہ آ رہی ہے دمادم صدائے کن فیکوں

Ilaj aatish-e-rumi ke soz mein hai tera

علاج آتشِ رومیؔ کے سوز میں ہے ترا

Teri khird pe hai ghalib ferangiyon ka fasoon

تری خرد پہ ہے غالب فرنگیوں کا فسوں

Usi ke fayz se meri nigaah hai roshan

اُسی کے فیض سے میری نگاہ ہے روشن

Usi ke fayz se mere saboo mein hai jaihoon

اُسی کے فیض سے میرے سبو میں ہے جیحوں

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!