Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon
Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal
- Urdu Poetry
- Allama Iqbal
- Bait Bazi
- Urdu Ghazals
This post provides ”Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon” ghazal. If you are looking for Allama Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Woh harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon
وہ حرفِ راز کہ مجھ کو سکھا گیا ہے جنوں
Khuda mujhe nafas-e-Jibreel de to kehun
خدا مجھے نفسِ جبرئیل دے تو کہوں
Sitara kya meri taqdeer ki khabar de ga
ستارہ کیا مری تقدیر کی خبر دے گا
Woh khud farakhi aflaak mein hai khwaar o zaboon
وہ خود فراخی افلاک میں ہے خوار و زبوں
Hayat kya hai khayaal o nazar ki majzoobi
حیات کیا ہے خیال و نظر کی مجذوبی
Khudi ki maut hai andesha haye gunan gun
خودی کی موت ہے اندیشہ ہائے گوناں گوں
Ajab maza hai mujhe lazat-e-khudi de kar
عجب مزہ ہے مجھے لذتِ خودی دے کر
Woh chahte hain ke mein apne aap mein na rahoon
وہ چاہتے ہیں کہ میں اپنے آپ میں نہ رہوں
Zameer paak o nigaah buland o musti e shauq
ضمیر پاک و نگاہ بلند و مستئ شوق
Na maal o daulat-e-qaron na fikr-e-aflatoon
نہ مال و دولتِ قاروں نہ فکرِ افلاطوں
Sabq mila hai yeh miraaj-e-Mustafa se mujhe
سبق ملا ہے یہ معراجِ مصطفیٰ سے مجھے
Ke aalam-e-bashariat ki zad mein hai girdon
کہ عالمِ بشریت کی زد میں ہے گردوں
Yeh kaainat abhi na-tamaam hai shayad
یہ کائنات ابھی ناتمام ہے شاید
Ke aa rahi hai damadam sadaaye kun fayakon
کہ آ رہی ہے دمادم صدائے کن فیکوں
Ilaj aatish-e-rumi ke soz mein hai tera
علاج آتشِ رومیؔ کے سوز میں ہے ترا
Teri khird pe hai ghalib ferangiyon ka fasoon
تری خرد پہ ہے غالب فرنگیوں کا فسوں
Usi ke fayz se meri nigaah hai roshan
اُسی کے فیض سے میری نگاہ ہے روشن
Usi ke fayz se mere saboo mein hai jaihoon
اُسی کے فیض سے میرے سبو میں ہے جیحوں
Rimsha Ashraf
Web Creator
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!
- Previous Post
- Next Post