Skip to content
La phir ek baar wahi bada o jaam ae saqi

La phir ek baar wahi bada o jaam ae saqi, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal

This post provides ”La phir ek baar wahi bada o jaam ae saqi” ghazal. If you are looking for Allama  Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”La phir ek baar wahi bada o jaam ae saqi” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

La phir ek baar wahi bada o jaam ae saqi Haath aa jaaye mujhe mera muqaam ae saqi Teen sau saal se hain Hind ke mai khane band Ab munasib hai tera faiz ho aam ae saqi Meri minaye ghazal mein thi zara si baqi Sheikh kehta hai ke hai yeh bhi haram ae saqi Sher mardoon se hua besha-e-tahqiq tehi Rah gaye soofi o mulla ke ghulam ae saqi Ishq ki teegh-e-jigardar ura li kis ne Ilm ke haath mein khali hai niaam ae saqi Seena roshan ho to hai soz-e-sukhan ain hayat Ho na roshan to sukhan marg-e-dawam ae saqi Tu meri raat ko mah-taab se mehroom na rakh Tere paimane mein hai maah-e-tamaam ae saqi

La phir ek baar wahi bada o jaam ae saqi

لا پھر اک بار وہی بادہ و جام اے ساقی

Haath aa jaaye mujhe mera muqaam ae saqi

ہاتھ آ جائے مجھے میرا مقام اے ساقی

Teen sau saal se hain Hind ke mai khane band

تین سو سال سے ہیں ہند کے مے خانے بند

Ab munasib hai tera faiz ho aam ae saqi

اب مناسب ہے ترا فیض ہو عام اے ساقی

Meri minaye ghazal mein thi zara si baqi

میری مینائے غزل میں تھی ذرا سی باقی

Sheikh kehta hai ke hai yeh bhi haram ae saqi

شیخ کہتا ہے کہ ہے یہ بھی حرام اے ساقی

Sher mardoon se hua besha-e-tahqiq tehi

شیر مردوں سے ہوا بیشۂ تحقیق تہی

Rah gaye soofi o mulla ke ghulam ae saqi

رہ گئے صوفی و ملا کے غلام اے ساقی

Ishq ki teegh-e-jigardar ura li kis ne

عشق کی تیغِ جگردار اُڑا لی کس نے

Ilm ke haath mein khali hai niaam ae saqi

علم کے ہاتھ میں خالی ہے نیام اے ساقی

Seena roshan ho to hai soz-e-sukhan ain hayat

سینہ روشن ہو تو ہے سوزِ سخن عین حیات

Ho na roshan to sukhan marg-e-dawam ae saqi

ہو نہ روشن تو سخن مرگِ دوام اے ساقی

Tu meri raat ko mah-taab se mehroom na rakh

تو مری رات کو مہتاب سے محروم نہ رکھ

Tere paimane mein hai maah-e-tamaam ae saqi

ترے پیمانے میں ہے ماہِ تمام اے ساقی

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!