Dil soz se khali hai nighah pak nahi hai
Dil soz se khali hai nighah pak nahi hai, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal
- Urdu Poetry
- Allama Iqbal
- Bait Bazi
- Urdu Ghazals
This post provides ”Dil soz se khali hai nighah pak nahi hai” ghazal. If you are looking for Allama Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Dil soz se khali hai nighah pak nahi hai” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Dil soz se khali hai nighah pak nahi hai
دل سوز سے خالی ہے نگہ پاک نہیں ہے
Phir is mein ajab kya ke tu be baak nahi hai
پھر اس میں عجب کیا کہ تو بے باک نہیں ہے
Hai zauq-e-tajalli bhi is khak mein pinhan
ہے ذوقِ تجلی بھی اسی خاک میں پنہاں
Ghaafil to nara sahib-e-idrak nahi hai
غافل تو نرا صاحبِ ادراک نہیں ہے
Woh aankh ke hai sarmay-e-afrang se roshan
وہ آنکھ کہ ہے سرمۂ افرنگ سے روشن
Purkaar o sukhan saaz hai namnaak nahi hai
پرکار و سخن ساز ہے نمناک نہیں ہے
Kya soofi o mulla ko khabar mere junoon ki
کیا صوفی و ملا کو خبر میرے جنوں کی
Un ka sar-e-daman bhi abhi chaak nahi hai
اُن کا سرِ دامن بھی ابھی چاک نہیں ہے
Kab tak rahe mahkume anjam mein meri khak
کب تک رہے محکومئ انجم میں مری خاک
Ya mein nahi ya gardish-e-aflaak nahi hai
یا میں نہیں یا گردشِ افلاک نہیں ہے
Bijli hoon nazar kooh o bayabaan pe hai meri
بجلی ہوں نظر کوہ و بیاباں پہ ہے میری
Mere liye shayan khis o khashaak nahi hai
میرے لیے شایاں خس و خاشاک نہیں ہے
Aalam hai sirf momin jaanbaaz ki miraas
عالم ہے فقط مومن جانباز کی میراث
Momin nahi jo sahib-e-laulak nahi hai
مومن نہیں جو صاحبِ لولاک نہیں ہے
Ahmad Khan
Web Creator
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!
- Previous Post
- Next Post