Skip to content
Aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir

Aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir” ghazal. If you are looking for Allama  Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir Karte hain khitaab aakhir uthte hain hijab aakhir Ahwal-e-mohabbat mein kuch farq nahi aisa Soz-o-tab-o-taab awwal soz-o-tab-o-taab aakhir Main tujh ko batata hoon taqdeer-e-umam kya hai Shamsheer-o-sanaan awwal Taos-o-rubaab aakhir Mai khanah-e-Yorop ke dastoor niraale hain Laate hain saroor awwal dete hain sharaab aakhir Kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-Taimoori Ho jaate hain sab daftar gharq may naab aakhir Khalwat ki ghadi guzri jalwat ki ghadi aayi Chatne ko hai bijli se aaghosh-e-sahab aakhir Tha zabt bohat mushkil is sail-e-maani ka Keh daale Qalandar ne asrar-e-kitaab aakhir

Aflak se aata hai nalon ka jawab aakhir

افلاک سے آتا ہے نالوں کا جواب آخر

Karte hain khitaab aakhir uthte hain hijab aakhir

کرتے ہیں خطاب آخر اُٹھتے ہیں حجاب آخر

Ahwal-e-mohabbat mein kuch farq nahi aisa

احوالِ محبت میں کچھ فرق نہیں ایسا

Soz-o-tab-o-taab awwal soz-o-tab-o-taab aakhir

سوز و تب و تاب اوّل سوز و تب و تاب آخر

Main tujh ko batata hoon taqdeer-e-umam kya hai

میں تجھ کو بتاتا ہوں تقدیرِ اُمم کیا ہے

Shamsheer-o-sanaan awwal Taos-o-rubaab aakhir

شمشیر و سناں اوّل طاؤس و رباب آخر

Mai khanah-e-Yorop ke dastoor niraale hain

مے خانۂ یورپ کے دستور نرالے ہیں

Laate hain saroor awwal dete hain sharaab aakhir

لاتے ہیں سرور اوّل دیتے ہیں شراب آخر

Kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-Taimoori

کیا دبدبۂ نادر کیا شوکتِ تیموری

Ho jaate hain sab daftar gharq may naab aakhir

ہو جاتے ہیں سب دفتر غرق مے ناب آخر

Khalwat ki ghadi guzri jalwat ki ghadi aayi

خلوت کی گھڑی گزری جلوت کی گھڑی آئی

Chatne ko hai bijli se aaghosh-e-sahab aakhir

چھٹنے کو ہے بجلی سے آغوشِ سحاب آخر

Tha zabt bohat mushkil is sail-e-maani ka

تھا ضبط بہت مشکل اس سیلِ معانی کا

Keh daale Qalandar ne asrar-e-kitaab aakhir

کہہ ڈالے قلندر نے اسرارِ کتاب آخر

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!