Skip to content
Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye

Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal

This post provides ”Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye” ghazal. If you are looking for Allama  Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.

Nah tu zameen ke liy hai nah aasman ke liy

Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye

نہ تو زمیں کے لیے ہے نہ آسماں کے لیے

Jahan hai tere liye tu nahi jahan ke liye

جہاں ہے تیرے لیے تو نہیں جہاں کے لیے

Yeh aql-o-dil hain sharar shola e mohabbat ke

یہ عقل و دل ہیں شرر شعلۂ محبت کے

Woh khaar o khas ke liye hai yeh nistaan ke liye

وہ خار و خس کے لیے ہے یہ نیستاں کے لیے

Maqam e parwarish e aah o naalah hai yeh chaman

مقامِ پرورشِ آہ و نالہ ہے یہ چمن

Na seer gul ke liye hai na aashiyaan ke liye

نہ سیر گل کے لیے ہے نہ آشیاں کے لیے

Rahega Raavi o Neel o Faraat mein kab tak

رہے گا راوی و نیل و فرات میں کب تک

Tera safeena ke hai bahr e bekaraan ke liye

ترا سفینہ کہ ہے بحرِ بیکراں کے لیے

Nishaan e raah dikhate thay jo sitaaron ko

نشانِ راہ دکھاتے تھے جو ستاروں کو

Taras gaye hain kisi mard e raahdaan ke liye

ترس گئے ہیں کسی مردِ راہ داں کے لیے

Nigah buland sukhan dil-nawaz jaan parsouz

نگہ بلند سخن دل نواز جاں پرسوز

Yehi hai rakht-e-safar mir e kaarwaan ke liye

یہی ہے رختِ سفر میرِ کارواں کے لیے

Zara si baat thi andesha-e-ajam ne use

ذرا سی بات تھی اندیشۂ عجم نے اسے

Barha diya hai faqat zeeb-e-dastaan ke liye

بڑھا دیا ہے فقط زیبِ داستاں کے لیے

Mere gulo mein hai ek naghma Jibreel ashub

مرے گلو میں ہے اِک نغمہ جبرائیل آشوب

Sanbhal kar jise rakha hai la makaan ke liye

سنبھال کر جسے رکھا ہے لا مکاں کے لیے

Rimsha Ashraf
Web Creator

Hi ! Peace Be Upon You All. 

I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!