Anokhi wazaa hai saare zamane se niraale hain
Anokhi wazaa hai saare zamane se niraale hain, Allama Iqbal Ki Urdu Ghazal
- Urdu Poetry
- Allama Iqbal
- Bait Bazi
- Urdu Ghazals
This post provides ”Anokhi wazaa hai saare zamane se niraale hain” ghazal. If you are looking for Allama Muhammad Iqbal’s Urdu poetries or ghazals, then you are at a right place. You will enjoy this post ”Anokhi wazaa hai saare zamane se niraale hain” which is a beautiful ghazal of Allama Muhammad Iqbal. This post contains a picture of the written ghazal and also ghazal in typed form in urdu and roman with its tashreeh.
Anokhi wazaa hai saare zamane se niraale hain
انوکھی وضع ہے سارے زمانے سے نرالے ہیں
Yeh aashiq kaun si basti ke yaa rab rehne waale hain
یہ عاشق کون سی بستی کے یارب رہنے والے ہیں
Ilaj-e-dard mein bhi dard ki lazat pe marta hoon
علاجِ درد میں بھی درد کی لذت پہ مرتا ہوں
Jo the chaalon mein kaante nok-e-soozan se nikaale hain
جو تھے چھالوں میں کانٹے نوکِ سوزن سے نکالے ہیں
Phala phoola rahe yaa rab chaman meri umidon ka
پھلا پھولا رہے یارب چمن میری اُمیدوں کا
Jigar ka khoon de de kar yeh boote mein ne paale hain
جگر کا خون دے دے کر یہ بوٹے میں نے پالے ہیں
Rulati hai mujhe raaton ko khamoshi sitaron ki
رلاتی ہے مجھے راتوں کو خاموشی ستاروں کی
Niraala ishq hai mera niraale mere naale hain
نرالا عشق ہے میرا نرالے میرے نالے ہیں
Na poocho mujhse lazat-e-khanmaan barbaad rehne ki
نہ پوچھو مجھ سے لذتِ خانماں برباد رہنے کی
Nasheeman saikaron mein ne bana kar phoonk daale hain
نشیمن سیکڑوں میں نے بنا کر پھونک ڈالے ہیں
Nahi bigaangi achi rafeeq-e-raah manzil se
نہیں بیگانگی اچھی رفیقِ راہ منزل سے
Thaher ja ae sharar hum bhi to aakhir mitne waale hain
ٹھہر جا اے شرر ہم بھی تو آخر مٹنے والے ہیں
Umeed-e-hoor ne sab kuch sikhaa rakha hai waiz ko
اُمیدِ حور نے سب کچھ سکھا رکھا ہے واعظ کو
Yeh hazrat dekhne mein seedhe saadhe bhoolay bhaale hain
یہ حضرت دیکھنے میں سیدھے سادھے بھولے بھالے ہیں
Mere ashaar aye Iqbal kyun pyaare nah hoon mujhko
مرے اشعار اے اقبالؔ کیوں پیارے نہ ہوں مجھ کو
Mere toote huye dil ke yeh dard-angez nalaay hain
مرے ٹوٹے ہوئے دل کے یہ دردانگیز نالے ہیں
Ahmad Khan
Web Creator
Hi ! Peace Be Upon You All.
I am a Student, a Content Writer and a Website Developer. I am a part of the Serenity Organization. I am working to provide you the best piece of literature. I hope you would like this post.
Thank you for your consideration!
- Previous Post
- Next Post